World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Shams 91 |
(Sura-Shams Makka mai Nazil hui, is mai pandrah (15) Aayatain hain) |
91.01 Qasam hai soraj ki aur uski dhop ki. 91.02 Qasam hai chand ki jab uskay peechay aay. 91.03 Qasam hai din ki jab soraj ko numaya keray. 91.04 Qasam hai raat ki jab ussay dhanp lay. 91.05 Qasam hai aasman ki aur uskay bananey ki. 91.06 Qasam hai zamen ki or ussy hamwar kernay ki. 91.07 Qasam hai nafs ki or ussy durust bananey ki. 91.08 Phir samjh di usko badkari ki aur bach ker chalnay ki. 91.09 Jiss nay ussay pak kiya wo kamyab hua. 91.10 Aur jiss nay ussay khak mein mila diya wo nakam hua. 91.11 (Quom) Samood nay apni sarkashi kay baees jhutlaya. 91.12 Jab unka bara badbakht uth khara hua. 91.13 Unhein Allah kay rassol nay farmadiya tha kay Allah Taalah ki ontni aur uss kay peeenay ki bari ki (hifazat karo). 91.14 Un logon nay apnay pyghamber ko jhota samjh ker uss ontni ki kochein kaat dein pus unkay rab nay unkay gunahon kay baees un per halakat dali aur phir halakat ko aam kerdiya aur uss basti ko barabar ker diya. 91.15 Wo nahi darta uskay tabahkun anjam say. |
Asalam O Alaikum. Allah Pak Humein Deen -E- Islam Ko Sahi Sahi Samjnai Aur Us Par Amal Karnai Ki Tofeeq Naseeb Farmahein. Isliye Mein Aap Kai Liye Laya Hun Quran Pak Ka Urdu Mein Tarjuma. Mairay liay or maray khandaan k liay dua zror kray Special thanks to sir Faisal iqbal admin@7rangi.com
Friday, 11 September 2015
91=== surah shams
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Surah Ash-Shams with Urdu Translation
ReplyDeleteclick this link https://holyquranonline1.blogspot.com/2022/10/surah-ash-shams-with-urdu-translation.html