World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Qadar 97 |
(Sura-Qadar Makka mai Nazil hui, is mai panch (05) Aayatain hain) |
97.01 Yaqeenan hum nay issay (Quran Pak ko) shab qadar mein nazil farmaya. 97.02 To kiaya janey kay shab qadar kiya hai. 97.03 Shab qadar aik hazar maheeno say behter hai. 97.04 Iss (mein her kaam) kay siranjam denay ko apney rab kay hukum say farishty aur rooh (jibrael) utertay hain. 97.05 Yeh raat sarasar slamti ki hoti hai aur fajar kay tuloo honay tak (rehti hai). |
Asalam O Alaikum. Allah Pak Humein Deen -E- Islam Ko Sahi Sahi Samjnai Aur Us Par Amal Karnai Ki Tofeeq Naseeb Farmahein. Isliye Mein Aap Kai Liye Laya Hun Quran Pak Ka Urdu Mein Tarjuma. Mairay liay or maray khandaan k liay dua zror kray Special thanks to sir Faisal iqbal admin@7rangi.com
Friday, 11 September 2015
97=== surah Qaddar
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment