World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Zoha 93 |
(Sura-Zoha Makka mai Nazil hui, is mai giyara (11) Aayatain hain) |
93.01 Qasam hai chasht kay waqt ki. 93.02 Aur qasam hai raat ki jab cha jaey. 93.03 Na to tery rab nay tujhy chora hai aur na woh bezar hogaya hai. 93.04 Yaqenan tery liey injam aghaz say behter hoga. 93.05 Tujhy tere rab baht jald (inaam ) dyga aur to razi (khush ) hojaey ga. 93.06 Kiya us nay tujhy yateem paker jagah nahi di? 93.07 Aur tujhay raah bhola paker hidayat nahi di? 93.08 Aur tujhy na-daar paaker to-nagar nahi banadiya? 93.09 Pus yateem per to bhi sakhti na kiya ker. 93.10 Aur na sawal kernay waly ko dant dapat. |
Asalam O Alaikum. Allah Pak Humein Deen -E- Islam Ko Sahi Sahi Samjnai Aur Us Par Amal Karnai Ki Tofeeq Naseeb Farmahein. Isliye Mein Aap Kai Liye Laya Hun Quran Pak Ka Urdu Mein Tarjuma. Mairay liay or maray khandaan k liay dua zror kray Special thanks to sir Faisal iqbal admin@7rangi.com
Friday, 11 September 2015
93=== surah zohaa,
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment