World visitors

Flag Counter

Saturday, 12 September 2015

87===surah aalaa

7rangi-Roman-Quran-Shareef
Surat-Aala 87
(Sura-Aala Makka mai Nazil hui, is mai unnees (19) Aayatain hain)
 
87.01 Apney buhat hi buland Allah kay naam ki pakizgi biyan ker.

87.02 Jisnay paida kiya aur sahi salim banaya.

87.03 Aur jisnay (thek thak) andaza kiya aur phir raah dekhai.

87.04 Aur jis nay taza ghass paida ki.

87.05 Phir ussney is ko (sukha ker) siyah kora ker diya.

87.06 Hum tujhy parhaein gay phir to na bhooly ga.

87.07 Magar jo kuch Allah chahey wo zahir aur poshida ko janta hay.

87.08 Hum apky liey asani paida kerdein gay.

87.09 To ap nasehat kerty rahein ager nasehat kuch faida day.

87.10 Derney wala to nasehat lega.

87.11 (han) Badbakht is say gurez karey ga.

87.12 Jo bari aag mein jaey ga.

87.13 Jahan phir won a mary ga jnajeiy ga (balky halat e nazah mein para rahy ga).

87.14 Be-shak usney falah pali jo pak hogaya.

87.15 Aur jis nay apney Rab ka naam yad rakha aur namaz parhta raha.

87.16 Lakin tum to duniya ki zindagi ko tarjeeh detay ho.

87.17 Aur akhrat buhat bhyter aur baqa wali hay.

87.18 Yeh batein phyli kitabon mein bhi hein.

87.19 (yani) Ibrahem aur Moosa ki kitabon mein.

No comments:

Post a Comment