World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Burooj 85 |
(Sura-Burooj Makka mai Nazil hui, is mai baees (22) Aayatain hain) |
85.01 Burjoon waly asman ki qasam! 85.02 Wada kiey huy din ki qasam! 85.03 Hazir honey waly aur hazir kiey hoy ki qasam. 85.04 (kay) Kahndaqon waly halak kiey gaye. 85.05 Wo ik aag thi endhan wali. 85.06 Jab kay wo log uskay ass pass bethy thay. 85.07 Aur musalmano kay sath jo ker rahy thy us ko apney samney dekh rahy thay. 85.08 Yeh log in musalmano (kay kisi aur gunha ka) badla nahi lay rahy thy siway iskay wo Allah galib laeeq e hamd ki zat per iman laey thay. 85.09 Jis kay liey asman o zameen ka mulk hay aur Allah Taalah kay samney hy her cheez. 85.10 Be-shak jin logon na musalman mardon aur auraton ko sataya phir tooba (bhi)na ki to unkay liey jahanum ka azab hay aur jalney ka azab hai. 85.11 Be-shak iman qabool kerney walo aur nek kam kerney walon kay liey wo baghat hein jin kay nechay nehrein beh rahi hein yehi bari kamyabi hai. 85.12 Yaqennan tery rab ki paker bari sakht hai. 85.13 Wohi phyli martaba paida kerta hay aur wohi dobara paida kery ga. 85.14 Wo bara bakhsish kerney wala aur bohat mohabat kernay wala hai. 85.15 Arsh ka malik azmat wala hai. 85.16 Jo chahy usay ker guzarney wala hai. 85.17 Tujhy lashkaron ki khabar bhi mili hai? 85.18 (Yani) Firaon aur samood ki. 85.19 (kuch nahi) Balky kafir to jhotlaney mein pary huy hein. 85.20 Aur Allah bhi unhein her taraf say ghery huy hai. 85.21 Balkay yeh quran hay bari shan wala. 85.22 Loh-e-mahfooz mein (likha hoa) hai. |
Asalam O Alaikum. Allah Pak Humein Deen -E- Islam Ko Sahi Sahi Samjnai Aur Us Par Amal Karnai Ki Tofeeq Naseeb Farmahein. Isliye Mein Aap Kai Liye Laya Hun Quran Pak Ka Urdu Mein Tarjuma. Mairay liay or maray khandaan k liay dua zror kray Special thanks to sir Faisal iqbal admin@7rangi.com
Saturday, 12 September 2015
85=== surah brooj
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment