World visitors

Flag Counter

Sunday, 13 September 2015

80===surah abbs

 
7rangi HomeTuition AcademyEntertainmentWomen CornerKids Fun ZoneGuess PapersOnline GamesWeb DirectoryContact Us
7rangi Online Tuition
Roman Urdu Quran
Download Holy Quran
Free Quran Audio
Submit Your CV
Be a 7rangi Model
Submit Your Feedback
7rangi guess papers karachi
Internet Marketing
Jewellery Caravan
7rangi-advertise
Faisal Iqbal
Roman Urdu Quran Shareef
7rangi-a1

Free Online Roman Urdu Quran (Curan/koran) Shareef

7rangi-a3
 
7rangi-Roman-Quran-Shareef
Surat-Abas 80
(Sura-Abas Makka mai Nazil hui, is mai bayalees (42) Aayatain hain)
 
80.01 Wo turush ro howa aur mon mor lia.

80.02 (sirf isliey) Kay uskay pass ik nabina aya.

80.03 Tujhy kia khabar shayad wo sanwar jata.

80.04 Ya nasehat sunta or usay nesehat fiada phunchati.

80.05 Jo be parwai kerta hai.

80.06 Uski taraf to pori tawajja kerta hai.

80.07 Halankay us kay na sanwarney say tujh per koi ilzam nahi.

80.08 Aur jo shaks tere pas dorta hua ata hai.

80.09 Aur wo dar (bhi) raha hai.

80.10 To us say berukhi bartta hai.

80.11 Yeh theek nahi Quran toh nasehat (ki cheez) hai.

80.12 Jo chahay us say nasihat le.

80.13 (ye to) Purazmat sahifon mein se hai.

80.14 Jo buland-o-bala or pak saf hein.

80.15 Isay likhnay walon kay haton mein hai.

80.16 Jo buzurgh or pakbaz hein.

80.17 Allah ki mar insan per kaisa nashukra hai.

80.18 Usay Allah nay kis cheez say paida kiya.

80.19 Usay ik nutfay say paida kia, phir iski taqdeer (masalay nafas) muqarar ki.

80.20 Phir us kay liey rasta asaan kiya.

80.21 Phir usay moat di aur phir qabar mein dafan kiya.

80.22 Phir jab chahe ga zinda ker dega.

80.23 Hergiz nahi usnay ab tak Allah kay hukum ki baja aawri nahi ki.

80.24 Insan ko chahiye kay apnay khanay ko dekhe.

80.25 Kay hum nay khoob pani barsaya

No comments:

Post a Comment