World visitors

Flag Counter

Saturday, 12 September 2015

83==Sura-Mutafifeen

7rangi-Roman-Quran-Shareef
Surat-Mutafifeen 83
(Sura-Mutafifeen Makka mai Nazil hui, is mai chhatees (36) Aayatain hain)
 
83.01 Bari kharabi hay nap tool mein kami kerney walon ki.

83.02 kay jab logon say nap kerletay hein to pora pora letay hein.

83.03 Aur jab inhein nap ker ya tool ker dyty hein to kam detay hein.

83.04 kiya inhen apney marney kay bad ji uthney ka khayal nahi.

83.05 Us azeem din kay liey.

83.06 Jis din sab log rab ul alameen kay samnay khary hongay.

83.07 Yaqenan badkaron ka nama-e-aamal sijjeen mein hai.

83.08 Tujhy kiya maloom sijjeen kiya hai?

83.09 (yeh to) Likhi hui kitab hai.

83.10 Us din jhotlanay walon ki bari khrabi hai.

83.11 Jo jaza o saza kay din ko jhotlaty hein.

83.12 Issy sirf wohi jhotlata hay jo had say agy nikal janey wala (aur) ghunaghar hota hai.

83.13 Jab iskay samnay hamari ayatein parhi jati hein to keh dyta hay kay yeh aglon kay afsaney hein.

83.14 Yun nahi balky in kay dilon per in kay amal ki waja say zang (charh gaya) hai.

83.15 Hergiz nahi yeh log us din apnay rab say oat mein rakhy jaein gay.

83.16 Phir yeh log bil yaqeen jahanum mein jhonky jaein gay.

83.17 Phir keh diya jaey ga kay yehi hay wo jissy tum jhotlaty rahay.

83.18 Yaqenan yaqenan nekokaron ka nama-e-amal illieen mein hai.

83.19 Tujhy kiya pata kay illieen kiya hai?

83.20 (wo to) Likhi hui kitab hai.

83.21 Muqarab (farishty) iska mushahida kerty hein.

83.22 Yaqeena nek log (bari) nematon mein hongay.

83.23 Mesherion per bethy dekh rahy hongay.

83.24 To in kay chehron say hi nematon ki taro tazgi phehchan lay ga.

83.25 Yeh log sir ba mehar khalis sharab pilaye jaingay.

No comments:

Post a Comment