World visitors

Flag Counter

Saturday, 12 September 2015

84=== surah inshqaq

7rangi-Roman-Quran-Shareef
Surat-Inshiqaaq 84
(Sura-Inshiqaaq Makka mai Nazil hui, is mai pacchees (25) Aayatain hain)
 
84.01 Jab asman phat jaey ga.

84.02 Aur apney rab kay hokum per kan lagaey ga aur issi kay laiq wo hai.

84.03 Aur jab zameen (khench ker)phela di jaygi.

84.04 Aur iss mein jo hai ussay wo ugal degi aur khali hojaygi.

84.05 Aur apney rab ky hokoom per kaan lagaye gi aur isi kay laeeq wo hai.

84.06 Aey insaan! Tu apney rab say milney tak yeh koshish aur tamam kaam aur mehnatein kerky ussymulaqatkerney wala hai.

84.07 To (us waqt) jis shaks kydahaney hath mein aamaal naama diya jayga.

84.08 Us ka hisab to bari aasani say liya jayga.

84.09 Aur wo apney ehal ki taraf hansi khushi lot ayega.

84.10 Han jis shaks ka aamaal nama us ki peeth ky peechy say diya jayga.

84.11 To wo maut ko bulaney lagay ga.

84.12 Aur bharakti hui jahanum meindakhil hoga.

84.13 Yeh sahks apnay mutalqeen mein (duniya mein) khush tha.

84.14 Iska khayal tha kay Allah ki taraf loot ker hi na jayga.

84.15 Que nahi hanlankay iska rab usy bakhobi dekh raha tha.

84.16 Mujhy shafaq ki qasam! aur raat ki!

84.17 Aur iski jama kerda chezon ki qasam!

84.18 Aur chand ki jab kay wo kamil hojata hai.

84.19 Yaqenan tum ik halat say dosri halat per phuncho gay.

84.20 Inhein kia hogaya kay iman nahi latay.

84.21 Aur jab in kay pass quran parha jata hai to sajda nahi kertay.

84.22 balky jinhon nay kufur kiya wo jhotla rahy hein.

84.23 aur Allah khob janta hai jo kuch yah dilon mein rakhty hein.

84.24 Inhen alamnak azabon ki khush khabri suna do.

84.25 Haan iman walon aur nek amal walon ko be shumar aur na khtam honay wala ajar hai.
 

No comments:

Post a Comment