World visitors

Flag Counter

Thursday, 10 September 2015

98===surh bayyina

7rangi-Roman-Quran-Shareef
Surat-Bayyina 98
(Sura-Bayyina Madina mai Nazil hui, is mai aath (08) Aayatain hain)
 
98.01 Ehl-e-kitab kay kafir aur mushrik log jabb tak kay unkay pass zahir daleel na ajaye baz rehnay waly na thay(who daleel yeh thi kay).

98.02 Allahtaalah ka aik rasol jo pak saheefay parhay.

98.03 Jin mein sahi aur durust ehkam hon.

98.04 Ehl-e-kitab apnay pass zahir daleel ajanay kay baad hi (ikhtilaaf mein par ker) mutafarriq hogay.

98.05 Unhein isskay siwa koi hokum nahi diya gaya kay sirf Allah ki ibadat kerein ussi kay liey deen ko khalis rakhein.ibraheem hanif kay deen per aur salat ko qaem rakhein aur zakat dety rahen yehi hai deen sedhi millat ka.

98.06 Beshak jo log ehl-e-kitab mein say kafir huye aur mushrikeen sab dozakh ki aag mein (jaigay) jahan who hamesha (hamesha) rehingy.yeh log bad tareen khalaeeq hain.

98.07 Beshak jo log eman laey aur nek amal kiey yeh log behtreen khalaeeq hain.

98.08 Inka badla unkay rab kay pass hameshgi wohi jannaten hein jinkay neechy nehrein beh rahi hein jin mein who hamesha hamesha rahein gay.Allah taalah unsy razi hua aur yeh uss say razi huye.yeh hai uskay liey jo apnay perwardigar say daray.

No comments:

Post a Comment