World visitors

Flag Counter

Friday, 11 September 2015

92=== surah lail

7rangi-Roman-Quran-Shareef
Surat-Lail 92
(Sura-Lail Makka mai Nazil hui, is mai ikkees (21) Aayatain hain)
 
92.01 Qasam hai raat ki jab cha jaey.

92.02 Aur qasam hai din ki jab roshan ho.

92.03 Aur qasam hai uss zaat ki jiss nay nar-o-mada ko peda kiya.

92.04 Yaqeenan tumhari koshish mukhtalif qisim ki hai.

92.05 Jiss nay diya (Allah ki rah mein)aur dara (apnay rab say).

92.06 Aur nek baat ki tasdeq kerta rahega.

92.07 To hum bhi usko aasan rasty ki saholat dein gay.

92.08 Lekin jiss nay bakheel ki aur beparwai barti.

92.09 Aur nek baat ki takzeeb ki.

92.10 To hum bhi uski tangi-o-mushkil kay saman mayuser kerdein gay.

92.11 Uska maal ussy (ondha) giraney kay waqat kuch kam na ay ga.

92.12 Be-shak raah dikha dena himaray zimmay hai.

92.13 Aur humary hi hath akhrat aurduniya hai.

92.14 Mein nay to tumhein sholay marti hui aag say dara diya hai.

92.15 Jis mein sirf wo hi badbakht dakhil hoga.

92.16 Jis nay jhutlaya aur (uski perwi say) mun pher liya.

92.17 Aur is say assa shaks dor rakha jaey ga jo bara perhezgar hoga.

92.18 Jo paki hasil kernay kay liey apna maal deta hai.

92.19 Kissi ka uss per koi ehsan nahi kay jiss ka badla diya jaraha ho.

92.20 bulkay sirf apnay perwardigar buzruk-o-buland ki raza chahnay kay liey.

92.21 Yaqeenan wo (Allah bhi) un qareeb raza mand hojaeyga.

No comments:

Post a Comment