World visitors

Flag Counter

Thursday, 10 September 2015

101===surah Qarriah

7rangi-Roman-Quran-Shareef
Surat-Qariya 101
(Sura-Qariya Makka mai Nazil hui, is mai giyara (11) Aayatain hain)
 
101.01 Kharkhara deney wali.

101.02 Kiaya hy who kharkhara deney wali.

101.03 Tujhay kiya maloom kay who kharkhara deney wali kia hai.

101.04 Jiss din insan bikhray huye perwanon ki tarah hojain gay.

101.05 Aur pahar dhunay huye rangeen oon ki tarah hojain gay.

101.06 phir jiss kay palry bhari hongy.

101.07 Who to dilpasand aram ki zindagi mein hoga.

101.08 Aur jiss kay palry halky hongy.

101.09 uss ka thikana Laaviya hai.

101.10 Tujhy kia maloom kay yeh kiya hai.

101.11 who Tand-o-tez aag (hai).

No comments:

Post a Comment