World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Takasur 102 |
(Sura-Takasur Makka mai Nazil hui, is mai aath (08) Aayatain hain) |
102.01 Zeyadti ki chahat nay tumhein ghafil kerdia. 102.02 Yahan tak kay tum qabastan ja phunchy. 102.03 Hergiz nahi tum unqareeb maloom kerlogay. 102.04 Hergiz nahi phir tumhein jald ilm hojaey ga. 102.05 Hergiz nahi ager tum yaqeeni tor per jan lo. 102.06 To be-shak tum jahanum dekhlogay. 102.07 Aur tum ussy yaqeen ki aankh say dekhlogy. 102.08 Phir uss din tum say zarror bil-zaroor nematon ka sawal hoga |
Asalam O Alaikum. Allah Pak Humein Deen -E- Islam Ko Sahi Sahi Samjnai Aur Us Par Amal Karnai Ki Tofeeq Naseeb Farmahein. Isliye Mein Aap Kai Liye Laya Hun Quran Pak Ka Urdu Mein Tarjuma. Mairay liay or maray khandaan k liay dua zror kray Special thanks to sir Faisal iqbal admin@7rangi.com
Thursday, 10 September 2015
102===surah takasur
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment