World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Ghashiya 88 |
(Sura-Ghashiya Makka mai Nazil hui, is mai chhabbees (26) Aayatain hain) |
88.01 Kiya tujhy bhi chopa lyney wali (qiyamat) ki khabar phunchi hay. 88.02 Us din bohat say chehry zalil hongay. 88.03 (aur) Mehnat kerney walay thakay huye hongay. 88.04 Woh dehakti hoi aag mein jaein gay. 88.05 Aur nihayat garm chasmy ka pani unko pilaya jaey ga. 88.06 In kay liey siway-e-kanty dar darkhton kay aur kuch khana na hoga. 88.07 Jo na mota karey ga na bhook mitaey ga. 88.08 Buhat say chehry usdin tar o taza aur (asoda hall) hongy. 88.09 Apni koshish per khush hongy. 88.10 Buland o bala janaton mein hongay. 88.11 Jahan koi byhoda bat nahi sunein gaein. 88.12 Jahan bhyta hoa chashma hoga. 88.13 (Aur) us mein onchy onchy takht hongy. 88.14 Aur aabkhory rakhy huy (hongy). 88.15 Aur ik qatar mein lagy hoy takiey hongy. 88.16 Aur makhmali masnadein pheli pari hongi. 88.17 Kiya yeh onton ko nahi dekhty kay wok is tarah paida kiey gay hein. 88.18 Aur asmano ko kay kis tarah oncha kiya gaya hai. 88.19 Aur paharon ki tarf kay kis tarah gar dey gay hein. 88.20 Aur zameen ki tarf kay kis tarah bechaei gai hai. 88.21 Pus ap nasehat ker dia kerein (kyun ke) ap sirf nasehat kerney waly hein. 88.22 Ap kuch in per darogha nahi hein. 88.23 Han jo shakhs rogardani kerty aur kufur kery. 88.24 Usy Allah Taalah buhat bara azab dega. 88.25 Be-shak hamari taraf inko lotna hai. 88.26 Phir be-shak hamaray zimmay hay inn say hisab lena. |
Asalam O Alaikum. Allah Pak Humein Deen -E- Islam Ko Sahi Sahi Samjnai Aur Us Par Amal Karnai Ki Tofeeq Naseeb Farmahein. Isliye Mein Aap Kai Liye Laya Hun Quran Pak Ka Urdu Mein Tarjuma. Mairay liay or maray khandaan k liay dua zror kray Special thanks to sir Faisal iqbal admin@7rangi.com
Saturday, 12 September 2015
88=== surah gashiya
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment