World visitors

Flag Counter

Saturday, 12 September 2015

86=== surah tariq


7rangi-Roman-Quran-Shareef
Surat-Tariq 86
(Sura-Tariq Makka mai Nazil hui, is mai satraah (17) Aayatain hain)
 
86.01 Qasam hai asman ki aur andhery mein roshan honay waly ki.

86.02 Tujhy maloom bhi hai ky wo raat ko namodar honey wali chez kiya hai?

86.03 Wo roshan sitara hai.

86.04 Koi asa nahi jis per nigheban farishta na ho.

86.05 Insan ko dekhna chaeiy kay kis chez say paida kiya gaya hai.

86.06 Wo ik uchalty pani say paida kiya (gaya) hai.

86.07 Jo pait aur seney kay dirmiyan say nikalta hai.

86.08 Be-shak wo usay phair leney per yaqeenan qudrat rakhney wala hai.

86.09 Jis din poshida bhedon ki janch partal hogi.

86.10 To na hoga uskay pas kuch zor na madadgar.

86.11 Barish waly asman ki qasam!

86.12 Aur pahtney wali zameen ki qasam!

86.13 Be-shak yeh (Quran) albatta do tok faisla kerney wala kalam hai.

86.14 Yeh hansi ki (aur be faeeda) baat nahi.

86.15 Albatta kafir dao ghaat main hein.

86.16 Aur mein bhi aik chaal chalraha hon.

86.17 Tu kafiron ko mohlat dey unhen thory dino chhor day.

No comments:

Post a Comment