World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Fajar 89 |
(Sura-Fajar Makka mai Nazil hui, is mai tees (30) Aayatain hain) |
89.01 Qasam hay fajar ki. 89.02 Aur dus raton ki. 89.03 Aur juft aur taaq ki. 89.04 Aur raat ki jab wo chalney lagy. 89.05 Kiya inmein aqalmand kay wasty kafi qisam hay? 89.06 Kiya ap ney nahi dekha ka yap kay rab nay Qom aad kay sath kiya kiya? 89.07 Satoonon waly erum kay sath. 89.08 Jis ki manind (koi qum) mulko mein paida nahi ki gai. 89.09 Aur quom-e-samood kay sath jinho nay wadi mein bary bary pather trashy thy. 89.10 Aur firoon kay sath jo meekhon wala tha. 89.11 In sabhon nay shiron mein sir utha rakha tha. 89.12 Aur bohat fasad macha rakha tha. 89.13 Akhir tery rab nay in sab py azab ka kora barsaya. 89.14 Yaqeenan tera rab ghat mein hay. 89.15 Insan (ka yeh hal hay kay) jab ussy us ka rab azmata hay aur izat o neymat dyta hay to wo khyney lagta hay kay mery rab nay mujhy izat dar banadiya. 89.16 Aur jab wo usko azmata hay aur uski rozi tang kerdyta hay to wo kehney lagta hay kay mera rab nay meri ahanat ki hy (aur zalil kiya). 89.17 Aiaa herghiz nahi balkay (bat yeh hai) kay tum (hi) log yateemo ki izat nahi kerty. 89.18 Aur miskino kay khilaney ki ik dosry ko targheeb nahi kerty. 89.19 Aur (mardon ki)miras sameth sameth ker khaty ho. 89.20 Aur maal ko ji bhar ker aziz rakhty ho. 89.21 Yaqeenan jis waqat zameen koot koot ker baraber kerdi jaey gi. 89.22 Aur tera rab(khud )ajaey ga aur farishty safen bandh ker(ajaey gay). 89.23 Aur jis din jhanum bhi lai jaey gi oss din insan ko samjh ayegi magar aj osky samjhney ka faida kahan? 89.24 Wo kahy ga kay kash kay mein nay apni is zindagi kay liey kuch peshgi saman kiya hota. 89.25 Pus aj Allah kay azab jaisa azab kisi ka na hoga. 89.26 Na uski qaid o band jaisi kisi ki qaid o band hogi. 89.27 Ay itmynan wali rooh. 89.28 To apney rab ki taraf loot chal is tarah kay to issy razi wo tujh say khush. 89.29 Pus mery khas bandon mein dakhil hoja. 89.30 Aur meri janat mein chali ja. |
Asalam O Alaikum. Allah Pak Humein Deen -E- Islam Ko Sahi Sahi Samjnai Aur Us Par Amal Karnai Ki Tofeeq Naseeb Farmahein. Isliye Mein Aap Kai Liye Laya Hun Quran Pak Ka Urdu Mein Tarjuma. Mairay liay or maray khandaan k liay dua zror kray Special thanks to sir Faisal iqbal admin@7rangi.com
Friday, 11 September 2015
89=== surah fajjar
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment