World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Teen 95 |
(Sura-Teen Makka mai Nazil hui, is mai aath (08) Aayatain hain) |
95.01 Qasm hai enjeer ki aur zetoon ki. 95.02 Aur toor sineen ki. 95.03 Aur is aman walay shahar ki. 95.04 Yaqenan hum nay insan ko behtreen soorat mein paida kia. 95.05 Phir isay nichon say nicha kerdia. 95.06 lekin jo log eman laey aur (phir) nek amal kiey to inkay liey aisa ajar hai jo kabhi khatam na hoga. 95.07 Pus tujhay abb roz jaza kay jhutlanay per konsi cheez amaadah kerti hai. 95.08 Kiya Allah Taalah (sabb) haakemon ka hakim nahi hai |
Asalam O Alaikum. Allah Pak Humein Deen -E- Islam Ko Sahi Sahi Samjnai Aur Us Par Amal Karnai Ki Tofeeq Naseeb Farmahein. Isliye Mein Aap Kai Liye Laya Hun Quran Pak Ka Urdu Mein Tarjuma. Mairay liay or maray khandaan k liay dua zror kray Special thanks to sir Faisal iqbal admin@7rangi.com
Friday, 11 September 2015
95=== surah teen
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment