World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Nooh 71 |
(Sura-Nooh Makka mai Nazil hui, is mai atthais (28) Aayatain hain) |
71.01 Yaqeenan hum ney Nooh (alh-e-salam) ko inki qom ki taraf bheja kay apni qom ko darado (aur khabaerdar kerdo) is say pehlay kay inkay pas dardnak azab ajaye. 71.02 (Nooh alh-e-salam ney) Kaha aey meri qom mein tumhein saaf saaf daranay wala hun. 71.03 Kay tum Allah ki ibadat kero aur isi say daro aur mera kaha maano. 71.04 To wo tumhary gunha bukhsh day ga aur tumhein aik waqat mukarrera tak chor dega YaqeenanAllah ka wada jab aajata hay to moakhir nahi hota kaash kay tumhien samjh hoti. 71.05 (nooh alh e salam ney) Kaha aey mery perwardigar!mein ney apni qom ko raat din teri taraf bulaya hai. 71.06 Mager meray bulanay say yeh log aur ziyada bhagnay lagay. 71.07 Mein ney jab khabi unhein teri bakhsish kay liye bulaya unhon ney apni ungliyan apney kaano mein daal lein aur apney kapron ko orh liya aur urh gaye aur bara takabur kiya. 71.08 Phir mein ney unhein ba-awaz buland bulaya. 71.09 Aur beshak mein ney insay elaaniya bhi kaha aur chupkay chupkay bhi. 71.10 Aur mein ney kaha kay apney rab say apney gunha bakhswao (aur maafi mango) wo yaqeenan bara bakhsnay wala hai. 71.11 Wo tum per aasman ko khob barsata hua chor dega. 71.12 Aur tumhein khob pay dar pay maal aur olaad mein taraqi dega Aur tumhein baaghat dega aur tumharay liye nikaal dega. 71.13 Tumhein kiya hogaya hai kay tum Allah ki bartari ki aqeedah nahi rakhtay. 71.14 Halankay us ney tumhein tarah tarah say paida kiya hai. 71.15 Kiya tum nahi dekhtay kay Allah Talah ney kis tarah opper talay sath asman paida ker diey hein. 71.16 Aur in mien chand ko khob jagmata banaya hai aur sooraj ko roshan chiragh banaya hai. 71.17 Aur tum ko zameen say aik (khas ehtimam say) ugaya hai (aur paida kiya hai). 71.18 Phir tumhein isi mein lota leya jaeyga aur (aik khas tareeqay) say phir nikalay ga. 71.19 Aur tumharay liye zameen ko Allah Taalah ney farsh banadiya hai. 71.20 Takay tum uski kushada raahon mein chalo phiro. 71.21 Nooh (alh-e-salam) ney kaha aey meray perwardigar!in logon ney meri to nafarmani ki aur aison ki farmanbardari ki jinkay maal-o-olaad ney inko (yaqeenan) nuksan hi mein barhaya hai. 71.22 Aur in logon ney bara sakht fareeb kiya. 71.23 Aur kaha unhon ney kay hergiz apney maaboodon ko na chorna aur na wad aur suwaa aur yaghoos aur yaooq aur nasar ko (chorna). 71.24 Aur unhon ney bohat say logon ko gumrah kiya (elaahi) tu in zaalimon ki gumrahi aur barha. 71.25 Yeh log ba sabab apney gunaahon kay dabo deygay aur jahanum mein phuncha diey gaye aur Allah kay siwa apna koi madadgar unhonay na paya. 71.26 Aur Nooh (alh-e-salam) ney kaha kay aey mery paalnay walay! To roy e zameen per kissi kafir ko rehnay sehnay wala na chor. 71.27 Ager to enhen chor dega to (yaqeenan) yeh tery (aur) bandon ko (bhi) gumrah kardeingay aur yeh faajiron aur dheet kafiron hi ko janum deingay. 71.28 Aey meray perwardigar!to mujhay aur meray maa baap aur jo eman ki halat mein meray ghermein aye aur tamam momin mardon aur auraton ko bakhsh dey aur kafiron ko siwaey barbadi key aur kisi baat mein na barha. |
Asalam O Alaikum. Allah Pak Humein Deen -E- Islam Ko Sahi Sahi Samjnai Aur Us Par Amal Karnai Ki Tofeeq Naseeb Farmahein. Isliye Mein Aap Kai Liye Laya Hun Quran Pak Ka Urdu Mein Tarjuma. Mairay liay or maray khandaan k liay dua zror kray Special thanks to sir Faisal iqbal admin@7rangi.com
Saturday, 19 September 2015
71=== surah nooh
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment