World visitors

Flag Counter

Sunday, 13 September 2015

81===surah takveer

7rangi-Roman-Quran-Shareef
Surat-Takveer 81
(Sura-Takveer Makka mai Nazil hui, is mai unattees (29) Aayatain hain)
 
81.01 Jab sooraj lappet liya jaey ga.

81.02 Aur jab sitary be noor hojain gay.

81.03 Aur jab pahar chalaye jain gay.

81.04 Aur jab dus mah ki hamla ontniyaan chor di jain gi.

81.05 Aur jab wehshi janwar ikhattay kiey jain gay.

81.06 Aur jab samander bharka diey jaien gay.

81.07 Aur jab har har qisam ke log mila diye jaein gay.

81.08 Aur jab zinda gari hui larki say sawal kiya jaey ga.

81.09 Kay kis gunha ki waja say wo qatal ki gai.

81.10 Aur jab nama-e-aamal khol diey jaein gay.

81.11 Aur jab asman ki khaal utar li jaey gai.

81.12 Aur jab jahanum bharkai jaey gi.

81.13 Aur jab jant nazdek kerdi jaey gi.

81.14 To us din her shaks jan lyga jo kuch yeh ker aya hoga.

81.15 Mein qasam khata hon pechay hatnay waly.

81.16 Chalnay phirney waly chupney waly sitaron ki.

81.17 Aur raat ki jab janey lage.

81.18 Aur subha ki jab chamekne lage.

81.19 Yaqenan yeh ik buzrug rasool ka kaha howa hai.

81.20 Jo qooat wala hai arsh waly (Allah) kay nazdeek buland martaba hai.

81.21 Jis ki (asmanon mein) ita-at ki jati hai ameen hai.

81.22 Aur tumhara sathi dewana nahi hai.

81.23 Isnay us (farishty) ko asman kay khulay kinare per dekha bhi hai.

81.24 Aur yeh ghaib ki baton ko batlaney mein bakheel bhi nahi.

81.25 Aur yeh Quran shaitan mardod ka kalam nahi.

81.26 Phir tum kahan jarahy ho.

81.27 Yeh to tamam jahan walon kay liey nasehat nama hai.

81.28 (bilkhosos) us kay liey jo tum mein say sedhi rah per chalna chahay.

81.29 Aur tum baghair perwardegar-e-alam kay chahay, kuch nahi chah sakhty.

No comments:

Post a Comment