World visitors

Flag Counter

Thursday, 10 September 2015

100===surah adiyaat

7rangi-Roman-Quran-Shareef
Surat-Aadiyaat 100
(Sura-Aadiyaat Makka mai Nazil hui, is mai giyara (11) Aayatain hain)
 
100.01 Hanpety hoye dorney waly ghoron ki qasam!

100.02 Phir taap maar ker aag jharnay walon ki qasam!

100.03 Phir subha kay waqat dhawa bolney walon ki qasam.

100.04 Pus uss waqat gard-o-ghubar uraty hein.

100.05 Phir ussi kay sath fojon kay darmiyan ghos jaty hein.

100.06 Yaqeenan insan apnay rab ka bara nashukra hai.

100.07 Aur yaqeenan who khud bhi issi per gawah hai.

100.08 Yeh maal ki muhabbat mein bhi bara sakht hai.

100.09 Kiya issay who waqat maloom nahi jabb qabron mein jo kuch hy nikal liya jay ga.

100.10 Aur seenon ki poshida batein zahir kerdi jaingi.

100.11 Be-shak inka rab uss din unkay haal say poora ba-khabar hoga

No comments:

Post a Comment