World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Alaq 96 |
(Sura-Alaq Makka mai Nazil hui, is mai unnees (19) Aayatain hain) |
96.01 Parh apnay rab kay naam say jiss nay paida kiya. 96.02 Jiss nay insan ko khoon kay lothray say paida kiya. 96.03 Tu parhta reh tera rab baray karam wala hai. 96.04 Jiss nay qalam kay zariye (ilm) sikhaya. 96.05 Jiss nay insan ko who sikhaya jissay who nai janta tha. 96.06 Such much insan to apnay say bahir hojata hai. 96.07 Isliey kay who apnay apko beparwah (ya tu nagar) samjhta hai. 96.08 Yaqeenan lotna teray rab ki taraf hai. 96.09 (Bhala) Issay bhi tumnay dekha jo bandy ko rokta hai. 96.10 Jabkay who banda salat ada kerta hai. 96.11 Bahala batla to ager who hidayat per ho. 96.12 Ya parhezgari ka hokum deta ho. 96.13 Bhala dekho to agar yeh jhutlata ho aur mun perhta ho to. 96.14 Kiya uss nay nahi jana kay Allah Taalah ussay khob dekh raha hai. 96.15 Yaqeenan ager yeh baaz na raha to hum iski peshani kay baal paker ker ghaseetein ge. 96.16 Aisi peshani jo jhooti katakar hai. 96.17 yeh apni majlis walon ko bulalay. 96.18 hum bhi (dozakh kay)piyadon ko bula lein ge. 96.19 Khabardar! isska kehna hergiz na manna aur sajda ker au |
Asalam O Alaikum. Allah Pak Humein Deen -E- Islam Ko Sahi Sahi Samjnai Aur Us Par Amal Karnai Ki Tofeeq Naseeb Farmahein. Isliye Mein Aap Kai Liye Laya Hun Quran Pak Ka Urdu Mein Tarjuma. Mairay liay or maray khandaan k liay dua zror kray Special thanks to sir Faisal iqbal admin@7rangi.com
Friday, 11 September 2015
96=== surah Alaqq
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment