World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Haaqqaa 69 |
(Sura-Haaqqaa Makka mai Nazil hui, is mai bawan (52) Aayatain hain) |
69.01 Sabit honey wali. 69.02 Sabit honay wali kiya hay? 69.03 Aur tujhay kiya maloom kay wo sabit shuda kiya hay? 69.04 Is khrka deney wali ko samood aur aad ney jhutla dia tha. 69.05 (jis kay nateejay mein)samood to behad khufnak (aur onchi)awaz say halak ker diey gay. 69.06 Aur aad behad tez o tund hawa say gharat ker diey gaey. 69.07 Jis say in per lagatar sath rat aur aath din tak (Allah ney)musalat rakha.pus tum dekhtay kay yeh log zameen per istrah gir gaey jaisay kay khjoor kay khokhly tanay hon. 69.08 Kiya in mein say koi bhi tujhay baqi nazar araha hy? 69.09 Firoon aur iss say pehlay kay log aur jin ki bastiyan ulat di gaein unhon ney bhi khataein kiein. 69.10 Aur apney rab kay rasool ki nafarmani ki(bilakhir)Allah ney unhein(bhi)zaberdast girift mein ly lia. 69.11 jab pani mein tughyani agai to us waqat hum ney tumhein kashti mein charha liya. 69.12 Takay is say tumharay liey nasehat aur yad gar banadein aur(taky)yad rakhaney waly kan issy yad rakhein. 69.13 Pus jab kay soor mein ik phonk phonki jaey gi. 69.14 Aur zameen aur pahar utha liey jaein gay aur ik hi chot mein reza reza ker dey jaein gay. 69.15 Us din ho parnay wali(qiyamat)ho paray gi. 69.16 Aur asman phat jaey ga aur us din bilkol boda ho jaey ga. 69.17 Is kay kinaron per farishtay hon gay aur tery perwardigar ka arsh us din aath(farishtay)apney opper uthaey hon gay. 69.18 Us din tum sab samney pesh kiey jao gay tumhara koi bhed poshida na rahy ga. 69.19 So jissay uska nama e amal us kay daein hath mein diya jaey ga to wo kehnay lagay ga kay lo mera nama e amal parh lo. 69.20 Mujhy to kamil yaqeen tha kay mujhy apna hisab milna hay. 69.21 Pus wo ik dil pasand zindagi mein ho ga. 69.22 Buland-o-bala jannt mein. 69.23 Jiss kay meway jhukay paray hon gay. 69.24 (in say kaha jaey ga) kay mazay say khao piyo apney in amal kay badlay jo tum ney guzishta zamanay mein kiy. 69.25 Lakin jissay uss(kay amal)ki kitab us kay baein hath mein di jaey gi wo to kahy ga kay kash kay mujhy meri kitab di hi na jati. |
Asalam O Alaikum. Allah Pak Humein Deen -E- Islam Ko Sahi Sahi Samjnai Aur Us Par Amal Karnai Ki Tofeeq Naseeb Farmahein. Isliye Mein Aap Kai Liye Laya Hun Quran Pak Ka Urdu Mein Tarjuma. Mairay liay or maray khandaan k liay dua zror kray Special thanks to sir Faisal iqbal admin@7rangi.com
Sunday, 20 September 2015
69=== surah haaqqa
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment