World visitors

Flag Counter

Tuesday, 15 September 2015

76===surah dahhar

7rangi-Roman-Quran-Shareef
Surat-Dahar 76
(Sura-Dahar Madina mai Nazil hui, is mai ikattees (31) Aayatain hain)
 
76.01 Yaqeenan guzra hai insan per ik waqat zamanay mein jab kay yeh koi qabe e zikar chez na tha.

76.02 Besahak hum ney insan ko milay julay nutfay say imtehan kay liye paida kiya aur uss ko sunta dekhta banaya.

76.03 Hum ney ussay raah dikhai abb khua wo shukar guzar banay khua na shukra.

76.04 Yaqeenaa hum ney kafiron kay liye zanjeeron aur toq aur sholon wali aag tayar ker rakhi hai.

76.05 Besahk neek log wo jam piyein gay jiss ki azmaish kafiron ki hai.

76.06 Jo aik chesma hai jiss say Allah kay banday piyen gay uss ki nehrein nikaal ley jaengay (jidher chahen).

76.07 Jo nazar poori kertay hein aur uss din say dartay hein jiss ki buraee charon taraf phel jaanay wali hai.

76.08 Aur Allah Taalah ki mohabat mein khana khilatay hein miskeen yateem aur qediyon ko.

76.09 Hum to tumhein sirf Allah Taalah ki raza mandi kay liye khilatay hein na tum say badla chatay hein na shuker guzari.

76.10 Beshak hum apney perwardigar say uss din ka khof kertay hein jo udaasi aur sakhti wala hoga.

76.11 Pus inhen Allah Taala ney uss din ki buraee say bacha liya aur inhen taazgi aur khushi phonchai.

76.12 Aut inhen inkay sabar kay badlay jannat aur reshmi libass ata farmaye.

76.13 Yeh wahan takhton per takiey lagaey huye bethen gay na wahan aftab ki garmi dfekhein gay ja jaray ki sakhti.

76.14 In jannaton kay saaye un per jhukey huye hongay aur inkay (meway aur) gunchay neechay latkaaey huye hongay.

76.15 Aur in per chandi kay bartano aur in jaamon ka dor keraya jayega jo sheeshay kay hongay.

76.16 Sheeshy bhi chandi kay jinko (saqi ney) andazay say nap rakha hoga.

76.17 Aur inhein wahan wo jam pilaya jaey ga jin ki amezish zanjabeel ki hogi.

76.18 Jaanat ki ik nehar say jiss ka nam salsabeel hai.

76.19 Aur inkay ird gird ghoomtey phirtay hongay wo kumsin bachay jo hamesha rehnay walay hein jab tu unhein dekhay to samjhay key wo bikhray hoey sachay moti hein.

76.20 Tu wahan jahan kahin bhi nazar daley ga saraser nematein aur azeem-ul-shan saltanat hi dekhay ga.

76.21 In kay jismoon per sabz bareek aur motay reshmi kapray hongay aur enhen chandi kay kangan ka zewar pehnaya jaeyga aur inhein unka rab pak saaf sharab pilaey ga.

76.22 (kaha jaeyga) kay yeh hai teray aemal ka badla aur tumhari koshish kiqadar ki gai.

76.23 Be-shak hum ney tujh per ba tedreej quran nazil kiya hai.

76.24 Pus to apney rab kay hokum per qaim rah aur in mein say kissi gunhagar ya na shukray ka kaha na maan.

76.25 Aur apney rab kay naam ka subha o sham zikar kiya ker.

76.26 Aur raat kay waqat uss kay saamnay sajday ker aur bohat raat tak uss ki tasbeeh kiya ker.

76.27 Behak yeh log jaldi milnay wali(duniya) ko chahtay hein aur apney peechay aik baray bhari din ko choray detay hein.

76.28 Hum ney inhein peda kiya aur hum ney hi in key jor aur bandhan mazboot kiey aur hum jab chahen in kay ewaz in jesay auron ko badal layen.

76.29 Yaqeenan yeh to aik naseehat hai pus jo chahey apney rab ki raah lelay.

76.30 Aur tum na chahogay magar yeh kay Allah Taalah hi chahey beshak Allah Talah ilm wala ba hikmat hai.

76.31 Jisay chahey apni rehmat mein daakhil kerley aur zaalimon kay liye uss ney dard naak azab tayyar ker rakha hai.

No comments:

Post a Comment