World visitors

Flag Counter

Thursday, 10 September 2015

99===surah zilzaal

7rangi-Roman-Quran-Shareef
Surat-Zilzaal 99
(Sura-Zilzaal Madina mai Nazil hui, is mai aath (08) Aayatain hain)
 
99.01 Jab zameen pori tarah jhanjor di jaygi.

99.02 Aur apney bojh bahar nikal phenkay gi.

99.03 Insan kehnay lagay ga kay issay kiya hogaya.

99.04 Uss din zameen apni sabb khabrein biyan kerdegi.

99.05 Issliye kay tery rab nay ussy hukam diya hoga.

99.06 Uss rozlog mukhtalif jamatein hoker(wapis)lotein gay takey unhein unkay aiymaal dikha diey jaein.

99.07 pus jiss nay zara baraber neki ki hogi who issay dekhlega.

99.08 Aur jiss nay zara baraber burai ki hogi who ussy dekhlega.

No comments:

Post a Comment