World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Infitaar 82 |
(Sura-Infitaar Makka mai Nazil hui, is mai unnees (19) Aayatain hain) |
82.01 Jab asman phat jaey ga. 82.02 Aur jab sitary jhar jaein gay. 82.03 Aur jab samander bhahe niklein gay. 82.04 Aur jab qabreen (shak kerkay) ukhaar di jaey gi. 82.05 (us waqat) Her shaks apnay agay bhaijay huy aur peechay choray huy (yani aglay pichlay aamal) ko maloom ker lega. 82.06 Aey insan tujhy apnay Rab-e-karim say kis cheez nay behkaya? 82.07 Jis (Rab nay) tujhy paida kiya phir thek thak kiya phir (durust) baraber banaya. 82.08 Jis sorat mein chaha tujhy jor diya. 82.09 Hergiz nahi balky tum to jaza-o-saza kay din ko jhotlaty ho. 82.10 Yaqenan tum per nigheban izzat waly. 82.11 Likhney waly muqerer hein. 82.12 Jo kuch tum kerty ho wo janty hein. 82.13 Yaqenan nek log (jannat kay aesh-o-aram aur) naimaton mein hongay. 82.14 Aur yaqenan badkar log dozakh mein hongay. 82.15 Badly waly din is mein jaein gay. 82.16 Wo is say kabhi ghaaib na honey paein gay. 82.17 Tujhy kuch khabar bhi hay kay badlay ka din kiya hai? 82.18 Mein tujhy phir (kehta hon kay) tujhay kiya maloom kay jaza (aur saza) ka din kia hai. 82.19 Wo hay jis din koi shaks kisi shaks kiy liey kisi chez ka mukhtar na hoga aur (tamamter) ahykam us roz Allah kay hi hongay. |
Asalam O Alaikum. Allah Pak Humein Deen -E- Islam Ko Sahi Sahi Samjnai Aur Us Par Amal Karnai Ki Tofeeq Naseeb Farmahein. Isliye Mein Aap Kai Liye Laya Hun Quran Pak Ka Urdu Mein Tarjuma. Mairay liay or maray khandaan k liay dua zror kray Special thanks to sir Faisal iqbal admin@7rangi.com
Sunday, 13 September 2015
82===surah infittar
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment