World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Humaza 104 |
(Sura-Humaza Makka mai Nazil hui, is mai nao (09) Aayatain hain) |
104.01 Bari kharabi hai her aisy shaks ki jo aib tatolney wala geebat kerney wala ho. 104.02 Jo maal ko jama kerta jay or ginta jay. 104.03 Woh samjhta hy kay uska maal usky pass sada rahay ga. 104.04 Hergiz nahi yeh to zaroor tor phor denay wali aag mein phenk diya jayga. 104.05 Aur tujhey kia maloom kay asi aag kiya hogi? 104.06 Woh Allah taalah ki sulgai hoi aag hogi. 104.07 Jo dilon per charhti chali jay gi. 104.08 Who unn per her taraf say band ki hui hogi. 104.09 Bary bary satoonon mein. |
Asalam O Alaikum. Allah Pak Humein Deen -E- Islam Ko Sahi Sahi Samjnai Aur Us Par Amal Karnai Ki Tofeeq Naseeb Farmahein. Isliye Mein Aap Kai Liye Laya Hun Quran Pak Ka Urdu Mein Tarjuma. Mairay liay or maray khandaan k liay dua zror kray Special thanks to sir Faisal iqbal admin@7rangi.com
Thursday, 10 September 2015
104===$urah Hamza
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment