World visitors

Flag Counter

Wednesday, 16 September 2015

74=== surah mudassir

7rangi-Roman-Quran-Shareef
Surat-Mudassir 74
(Sura-Mudassir Makka mai Nazil hui, is mai chappan (56) Aayatain hain)
 
74.01 Aey kapra orhnay waly.

74.02 Khara ho ja aur agah ker de.

74.03 Aur apney rab hi ki baraiyan biyan ker.

74.04 Apney kapron ko pak rakha ker.

74.05 Na paki ko chor de.

74.06 Aur ahsaan ker ke ziyada lenae ki khuwaish na ker.

74.07 Aur apney rab ki rah mein sabar ker.

74.08 Pus jab ke sor mein phonk mari jaey gi.

74.09 To wo din bara sakht din hoga.

74.10 (jo) Kafiron per asan na hoga.

74.11 Mujhy aur usay chor de jisay mein ne akela paida kiya hai.

74.12 Aur isay bohat sa maal de rakha hai.

74.13 Aur hazir bash ferzand bhi.

74.14 Aur mein ne usay bohat kushadigi de rakhi hai.

74.15 Phir bhi uski chahat hai kay mein usay or ziyada don.

74.16 Nahi nahi wo hamari ayaton ka mukhalif hai.

74.17 An qareeb mein usay ik sakht charhai charhaon ga.

74.18 Us ne ghor ker ke tajweez ki.

74.19 Usay halakat ho kaisi (tajweez) sochi?

74.20 Wo phir gharat ho kis tarah andaza kiya.

74.21 Us ne phir dekha.

74.22 Phir teweri charhai or mun banaya.

74.23 Phir pechay hat gaya aur ghoroor kiya.

74.24 Aur kehne laga ye to sirf jado hai jo naqal kiya jata hai.

74.25 Siwaey insani kalam ke kuch bhi nahi.

No comments:

Post a Comment