World visitors

Flag Counter

Wednesday, 16 September 2015

75===Surat Qiyama

7rangi-Roman-Quran-Shareef
Surat-Qiyama 75
(Sura-Qiyama Makka mai Nazil hui, is mai chalees (40) Aayatain hain)
 
75.01 Mein qasam khata hun qayamat kay din ki.

75.02 Aur qasam khata hun uss nafas ki jo malamat kernay wala ho.

75.03 Kiya insan yeh khayal kert hai kay hum uss ki hadiyan jama kerengay hi nahi.

75.04 Han zaror kerengay hum to qadir hain kay usski por por tak durust kerdein.

75.05 Bulkay insan to chahta hai kay aagay aagay na farmaniyan kerta jaey.

75.06 Poochata hai kay qayamat ka din kab aaye ga.

75.07 Pus jis waqat kay nigha pathra jaeygi.

75.08 Aur chand benoor hojaey ga.

75.09 Aur soraj aur chand jama kerdiye jaeingay.

75.10 Us din insan kahega kay aaj bhegnay ki jagah kahan hai?

75.11 Nahi nahi koi panahgah nahi.

75.12 Aaj to teray perwardigar ki tarf hi qarar gah hai.

75.13 Aaj insan ko us kay aagay bhejay huye aur pichay choray hoye say aagah kiya jaeyga.

75.14 Bulkay insan khud apney upper aap hujjat hai.

75.15 Agercha kitnay hi bahanay pesh keryga.

75.16 (ay nabi) Aap Quran ko jadi (yaad kernay) kay liey apni zabaan ko herkat na den.

75.17 Is ka jama kerna aur (aap ki zaban say) perhna humaray zimmay hai.

75.18 Hum jab isay parhlen to aap is kay parhnay ki perwi kerein.

75.19 Phir is ka wazeh ker dyna hamary zimy hai.

75.20 Nahi nahi tum jaldi milnay wali (duniya) ki mohabat rakhtay ho.

75.21 Aur akhrat ko chor bethy ho.

75.22 Us roz bohat say chehery ter o taza aur ba runaq hongay.

75.23 Apney rab ki taraf dekhtay hongay.

75.24 Aur kitnay chehry us din (bad ronaq aur) udas hongay.

75.25 Samjhtay hongay kay in kay sath kamar tor dene wala mamla ki jaey ga.

No comments:

Post a Comment