World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Naba 78 |
(Sura-Naba Makka mai Nazil hui, is mai chalees (40) Aayatain hain) |
78.01 Yeh log kis cheez ke bary mein poch gach ker rahe hein. 78.02 Us bari khabar kay mutaliq. 78.03 Jis kay bary mein yeh ikhtelaaf ker rahay hein. 78.04 Yaqeenan yeh abhi jan lein ge. 78.05 Phir bil yaqeen inhein buhat jald maloom hojaey ga. 78.06 Kiya hum nay zameen ko farsh nahi banaya? 78.07 Aur paharon ko meekhein (nahi banaya)? 78.08 Aur hum nay tumhein jora jora paida kiya. 78.09 Aur hum nay tumhari neend ko aram ka sabab banaya. 78.10 Aur raat ko hum nay parda banaya hai. 78.11 Aur din ko hum nay waqat-e-rozgar banaya. 78.12 Aur tumhary ooper hum nay saat (7) masboot asman banaey. 78.13 Aur ik chamkta howa roshan chiragh (sooraj) paida kiya. 78.14 Aur badlon say hum nay bakasrat behta hua pani barsaya. 78.15 Takay us say anaj or sabza ugaein. 78.16 Aur ghanay bagh (bhi ugay). 78.17 Be-shak faislay kay din ka waqat mukarer hai. 78.18 Jis din kay sor mein phonka jaey ga phir tum foaj der foaj chale aao ge. 78.19 Aur asman khool diaya jaey ga to is mein darwazy darwazy hojaein ge. 78.20 Aur pahar chalaye jaein ge pus wo sarab hojaein ge. 78.21 Be-shak dozakh ghaat mein hai. 78.22 Sarkashon ka thikana wohi hai. 78.23 Is mein wo mudaton tak pary rahein ge. 78.24 Na kabhi is mein khunki ka maza chakein gay na pani ka. 78.25 Siwaey garm pani aur (behti) peep ke. |
Asalam O Alaikum. Allah Pak Humein Deen -E- Islam Ko Sahi Sahi Samjnai Aur Us Par Amal Karnai Ki Tofeeq Naseeb Farmahein. Isliye Mein Aap Kai Liye Laya Hun Quran Pak Ka Urdu Mein Tarjuma. Mairay liay or maray khandaan k liay dua zror kray Special thanks to sir Faisal iqbal admin@7rangi.com
Tuesday, 15 September 2015
78===surah naba
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment