World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Qalam 68 |
(Sura-Qalam Makka mai Nazil hui, is mai bawan (52) Aayatain hain) |
68.01Noon qasam hai qalam ki aur uss ki jo kuch kay who (farishtay) likhtay hain. 68.02 Tu apany rab kay fazal say deewana nhai hai. 68.03 Aur be-shak teray liye bey inteha ajar hai. 68.04 Aur be-shak tu both baray (umda) ikhlaq per hai. 68.05 Pus abb tub hi dekhlega aur yeh bhi dekh len gay. 68.06 Kay tum main say kon fitnay mein pera hua hai. 68.07 Be-shak tera rab apni raah say behaknay walon ko khoob jaanta hai aur wohraah yafta logon ko tu bakhoobi jaanta hai. 68.08 Pus to jhutlanay walon kin a maan. 68.09 who to chahtay hain kay tu zara dheela ho to yeh bhi dheelay par jayen. 68.10 Aur tu kissi aisay shaks ka bhi kaha na manna jo ziyada qasmen khanay wala. 68.11 Beywaqar’ qammena aibgo chughalkhor. 68.12 Bhalaee say roknay wala had say barh janay wala gunehgaar. 68.13 Gardan kash phir sath hi beynasab ho. 68.14 Usski sirkashi sirf iss liye hai kay who maal wala aur beton wala hai. 68.15 Jab uss kay samnay humari aayaten parhi jaati hain to keh deta hai kay yeh to aglon kay qissay hain. 68.16 Hum bhi us ski soond (naak) per daagh dengay. 68.17 Be-shak hum ney unhen issi tarah aazmaliya jiss tarah hum ney baagh walon ko aazmaya tha job unho ney qasman khayen kay subha hotay hi iss baagh kay phal utar lengay. 68.18 Aur inshaAllah na kaha. 68.19 Pus iss per teray rab ki janib say aik bala chaaron taraf ghoom gaee aur yeh so hi rahey thay. 68.20 Pus who baagh aisa hogaya jesay kati hui kheti. 68.21 Abb subha hotay hi unho ney aik doosray ko aawazen dea. 68.22 Kay agar tumhen phal utarnay hain to apni kheti per saweray hi saweray chal paro. 68.23 phir yeh sab chupkay chupkay yeh baten kertay huye chalay. 68.24 Kay aaj kay din koi miskeen tumharay pass na aanay paye. 68.25 Aur lapkay huye subha subha gaye (Samajh rahey thay) kay hum qaaboo paagaye. |
Asalam O Alaikum. Allah Pak Humein Deen -E- Islam Ko Sahi Sahi Samjnai Aur Us Par Amal Karnai Ki Tofeeq Naseeb Farmahein. Isliye Mein Aap Kai Liye Laya Hun Quran Pak Ka Urdu Mein Tarjuma. Mairay liay or maray khandaan k liay dua zror kray Special thanks to sir Faisal iqbal admin@7rangi.com
Sunday, 20 September 2015
68=== surah qalam
69=== surah haaqqa
World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Haaqqaa 69 |
(Sura-Haaqqaa Makka mai Nazil hui, is mai bawan (52) Aayatain hain) |
69.01 Sabit honey wali. 69.02 Sabit honay wali kiya hay? 69.03 Aur tujhay kiya maloom kay wo sabit shuda kiya hay? 69.04 Is khrka deney wali ko samood aur aad ney jhutla dia tha. 69.05 (jis kay nateejay mein)samood to behad khufnak (aur onchi)awaz say halak ker diey gay. 69.06 Aur aad behad tez o tund hawa say gharat ker diey gaey. 69.07 Jis say in per lagatar sath rat aur aath din tak (Allah ney)musalat rakha.pus tum dekhtay kay yeh log zameen per istrah gir gaey jaisay kay khjoor kay khokhly tanay hon. 69.08 Kiya in mein say koi bhi tujhay baqi nazar araha hy? 69.09 Firoon aur iss say pehlay kay log aur jin ki bastiyan ulat di gaein unhon ney bhi khataein kiein. 69.10 Aur apney rab kay rasool ki nafarmani ki(bilakhir)Allah ney unhein(bhi)zaberdast girift mein ly lia. 69.11 jab pani mein tughyani agai to us waqat hum ney tumhein kashti mein charha liya. 69.12 Takay is say tumharay liey nasehat aur yad gar banadein aur(taky)yad rakhaney waly kan issy yad rakhein. 69.13 Pus jab kay soor mein ik phonk phonki jaey gi. 69.14 Aur zameen aur pahar utha liey jaein gay aur ik hi chot mein reza reza ker dey jaein gay. 69.15 Us din ho parnay wali(qiyamat)ho paray gi. 69.16 Aur asman phat jaey ga aur us din bilkol boda ho jaey ga. 69.17 Is kay kinaron per farishtay hon gay aur tery perwardigar ka arsh us din aath(farishtay)apney opper uthaey hon gay. 69.18 Us din tum sab samney pesh kiey jao gay tumhara koi bhed poshida na rahy ga. 69.19 So jissay uska nama e amal us kay daein hath mein diya jaey ga to wo kehnay lagay ga kay lo mera nama e amal parh lo. 69.20 Mujhy to kamil yaqeen tha kay mujhy apna hisab milna hay. 69.21 Pus wo ik dil pasand zindagi mein ho ga. 69.22 Buland-o-bala jannt mein. 69.23 Jiss kay meway jhukay paray hon gay. 69.24 (in say kaha jaey ga) kay mazay say khao piyo apney in amal kay badlay jo tum ney guzishta zamanay mein kiy. 69.25 Lakin jissay uss(kay amal)ki kitab us kay baein hath mein di jaey gi wo to kahy ga kay kash kay mujhy meri kitab di hi na jati. |
70===surah maarij
World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Maarijj 70 |
(Sura-Maarijj Makka mai Nazil hui, is mai chawalees (44) Aayatain hain) |
70.01 Aik sawal kernay walay ney uss azab ka swal kiya jo wazeh honay wala hay. 70.02 Kafiron per jissay koi hatanay wala nahi. 70.03 Uss Allah ki taraf say jo seerhiyon wala hay. 70.04 Jiss ki taraf farishtay aur rooh charhtay hein aik din mein jiss ki miqdaar pachas hazar saal ki hay. 70.05 Pus to achi tarah sabar ker. 70.06 Beshak yeh uss (azab) ko door samajh rahe hein. 70.07 Hum issay qareeb hi dekhatay hein. 70.08 Jiss din aasman misil tel ki talchat kay hojayega. 70.09 Aur pohaar misil rangeen oon kay hojey gay. 70.10 Aur koi dost kissi dost ko na poochay ga. 70.11 (Halankay) aik doosray ko dikha diye jaeyen gay gunehgar uss din kay azab kay badlay fidye mein apney beton ko. 70.12 Apni biwi ko aur apney bhai ko. 70.13 Aur apney kunbay ko jo issay panah deta tha. 70.14 Aur roy e zameen kay sab logon ko dena chahyega takay yeh ussay nijat dilaye. 70.15 Mager hergiz yeh na hoga yaqeenan wo shoal wali (aag) hai. 70.16 Jo mun aur sar ki khal khench lynay wali hay. 70.17 Wo her us shaks ko pukaray gi jo pechay hata aur mun morta hay. 70.18 Aur jama ker kay samnbhal rakhta hay. 70.19 Beshak insan baray kachy dil wala banaya gaya hay. 70.20 Jab is say musibat puhanchti hay to har bara uthta hay. 70.21 aur jab rahat milti hay to bukhul kernay lagta hay. 70.22 Mager wo namazi. 70.23 J apnai namaz per hameshagi kernay walay hein. 70.24 Aur jin kay maalon mein mukarra hisa hay. 70.25 Mangnay walon ka bhi aur sawal say bachnay walon ka bhi. |
Saturday, 19 September 2015
71=== surah nooh
World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Nooh 71 |
(Sura-Nooh Makka mai Nazil hui, is mai atthais (28) Aayatain hain) |
71.01 Yaqeenan hum ney Nooh (alh-e-salam) ko inki qom ki taraf bheja kay apni qom ko darado (aur khabaerdar kerdo) is say pehlay kay inkay pas dardnak azab ajaye. 71.02 (Nooh alh-e-salam ney) Kaha aey meri qom mein tumhein saaf saaf daranay wala hun. 71.03 Kay tum Allah ki ibadat kero aur isi say daro aur mera kaha maano. 71.04 To wo tumhary gunha bukhsh day ga aur tumhein aik waqat mukarrera tak chor dega YaqeenanAllah ka wada jab aajata hay to moakhir nahi hota kaash kay tumhien samjh hoti. 71.05 (nooh alh e salam ney) Kaha aey mery perwardigar!mein ney apni qom ko raat din teri taraf bulaya hai. 71.06 Mager meray bulanay say yeh log aur ziyada bhagnay lagay. 71.07 Mein ney jab khabi unhein teri bakhsish kay liye bulaya unhon ney apni ungliyan apney kaano mein daal lein aur apney kapron ko orh liya aur urh gaye aur bara takabur kiya. 71.08 Phir mein ney unhein ba-awaz buland bulaya. 71.09 Aur beshak mein ney insay elaaniya bhi kaha aur chupkay chupkay bhi. 71.10 Aur mein ney kaha kay apney rab say apney gunha bakhswao (aur maafi mango) wo yaqeenan bara bakhsnay wala hai. 71.11 Wo tum per aasman ko khob barsata hua chor dega. 71.12 Aur tumhein khob pay dar pay maal aur olaad mein taraqi dega Aur tumhein baaghat dega aur tumharay liye nikaal dega. 71.13 Tumhein kiya hogaya hai kay tum Allah ki bartari ki aqeedah nahi rakhtay. 71.14 Halankay us ney tumhein tarah tarah say paida kiya hai. 71.15 Kiya tum nahi dekhtay kay Allah Talah ney kis tarah opper talay sath asman paida ker diey hein. 71.16 Aur in mien chand ko khob jagmata banaya hai aur sooraj ko roshan chiragh banaya hai. 71.17 Aur tum ko zameen say aik (khas ehtimam say) ugaya hai (aur paida kiya hai). 71.18 Phir tumhein isi mein lota leya jaeyga aur (aik khas tareeqay) say phir nikalay ga. 71.19 Aur tumharay liye zameen ko Allah Taalah ney farsh banadiya hai. 71.20 Takay tum uski kushada raahon mein chalo phiro. 71.21 Nooh (alh-e-salam) ney kaha aey meray perwardigar!in logon ney meri to nafarmani ki aur aison ki farmanbardari ki jinkay maal-o-olaad ney inko (yaqeenan) nuksan hi mein barhaya hai. 71.22 Aur in logon ney bara sakht fareeb kiya. 71.23 Aur kaha unhon ney kay hergiz apney maaboodon ko na chorna aur na wad aur suwaa aur yaghoos aur yaooq aur nasar ko (chorna). 71.24 Aur unhon ney bohat say logon ko gumrah kiya (elaahi) tu in zaalimon ki gumrahi aur barha. 71.25 Yeh log ba sabab apney gunaahon kay dabo deygay aur jahanum mein phuncha diey gaye aur Allah kay siwa apna koi madadgar unhonay na paya. 71.26 Aur Nooh (alh-e-salam) ney kaha kay aey mery paalnay walay! To roy e zameen per kissi kafir ko rehnay sehnay wala na chor. 71.27 Ager to enhen chor dega to (yaqeenan) yeh tery (aur) bandon ko (bhi) gumrah kardeingay aur yeh faajiron aur dheet kafiron hi ko janum deingay. 71.28 Aey meray perwardigar!to mujhay aur meray maa baap aur jo eman ki halat mein meray ghermein aye aur tamam momin mardon aur auraton ko bakhsh dey aur kafiron ko siwaey barbadi key aur kisi baat mein na barha. |
72===surah jinn
World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Jinn 72 |
(Sura-Jinn Makka mai Nazil hui, is mai atthais (28) Aayatain hain) |
72.01 (Aey Muhammad (S.A.W) Aap keh dein kay mujhy wahi ki gai hay kay jinno ki ik jamat ne (Quran) suna or kaha kay hum ney ajeeb Quarn suna hai. 72.02 Jo rah e rast ki tarf rahnumai kerta hai hum is per iman la chukay (ab)hum her giz kisi ko bhi apney rab ka sharek na banein gay. 72.03 Aur beshak hamary Rab ki shan bari buland hai aur na us ney kisi ko (apni) biwi banaya hay aur na beta. 72.04 Aur yeh kay kehtay rahein hein hamary nadan logAllah kay bary mein bhat khilaf e haq batein. 72.05 Aur hum to yehi samjhtay rahy kay namumkin hai kay insan aur jinnat Allah per jhoti batein lagaein. 72.06 Baat yeh hay kay chand insan baaz jinnat say panah talab kertay thy jis say jinnat apnai serkashi mein aur barh gay. 72.07 Aur (insano) ney bhi tum jino ki tarah guman ker liya tha kay Allah kisi ko na bhyjay ga (ye kisi ko dobara zinda an kery ga). 72.08 Aur hum ney asman ko tatool ker dekha to usay sakht chokidaron aur sakht sholon say pur paya 72.09 Is say pehlay hum baatein suneinkay liye asman mein jagah jagah beth jaya kertay thy .jo bhi kan lagata hay wo ik sholay ko apni taak mein pata hai. 72.10 Hum nahi jantay kay zameen walon kay sath kisi burai ka irada kiya gaya hay ya in kay rab ka irada in kay sath bhalai ka hai. 72.11 Aur yeh kay (beshak) baaz to hum mein nekokar hein aur baaz iskay barakas bhi hein hum mukhtalif tareeqon say batay hoy hein. 72.12 Aur hum ney samajh liya hay kay hum Allah Talah ko zameen mein hergiz aajiz nahi ker saktay aur na hum bhag ker issy hara saktay hein. 72.13 Hum to hidayat ki bat suntay hi is per eman la chukay aur jo bhi apney rab per eman laye ga us say na kisi nuksan ka andesha hay na zulm-o-sitam ka. 72.14 Han hum mein baaz to musalman hein baaz be-insaf hein pus jo farmaberdar hogay unhon ney to raah-e-raast ka qasad kiya. 72.15 Aur jo zalim hein wo jahanum ka endhen bangay. 72.16 Aur (aey Nabi yeh bhi khay do) kay log raaah e rast per seedhay rehtay to yaqeenan hum enhein both waffir pani pilatay. 72.17 Takay hum is munhein azmalein aur jo sahks apney perwedigar kay zikar say mun pherlay ga to Allah Talah ussay sakht azab mein mubtila kerdayga. 72.18 Aur yeh kay mesjidein sirf Allah hi kay liye khas hein pus Allah Talah kay sath kissi aur ko na pukaro. 72.19 Aur jab Allah ka banda uss ki ibadat kay liye khara hoa to qareeb tha kay wo bheer ki bheer ban ker uss per pal paren. 72.20 Aap keh dijey kay mein to sirf apney rab hi ko pukarta hon aur is kay sath kissi ko shareek nahi banata. 72.21 Keh dijey kay mujhy tumhary kisi nuksan nafa ka ikhtiyar nahi. 72.22 Kehdijey kay mujhy hergiz koi Allah say bacha nahi sakta aur mein hergiz uss kay siwa koi jay e panah bhi paa nahi sakta. 72.23 Albata (mera kam) Allah ki baat aur iss kay peghamaat (logon ko) phuncha dena hia (ab) jo bhi Allah aur uss kay rasool kin a maanay ga uss kay liye jahanum ki aag hai jiss mein aisay log hamesha rahengay. 72.24 (unki aankh na khulaygi) Yahan tak kay ussay dekhlen jis ka unko wada diya jata hia pus unqareeb jaan lengay kay kis ki jamat kum hai. 72.25 Kehdijey kay mujhy maloom nahi kay jiss ka wada tum say kiya jata hai wo qareeb hia ya mera rab us kay liye door ki muddat mukarrer keryga. 72.26 Wo ghaib ka jannay wala hai aur apney gheb per kisi ko mutlaa nahi kerta. 72.27 Siwaey us peyghamber kay jissay wo pasand kerley lekin usskay bhi aagay pechay pehraydar muqarrer kerdyta hai. 72.28 Takay unkay apney rab kay paygham phoncha denay ka ilm hojaey.Allah talah ney unkay aas pass (ki tamam cheezon) ka ehaata ker rakha hai aur her cheez ki gintee ka shumaar ker rakha hai. |
73===surah muzammil
World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Muzammil 73 |
(Sura-Muzammil Makka mai Nazil hui, is mai bees (20) Aayatain hain) |
73.01 Aey kapray mein lipatnay walay. 73.02 Rat (kay waqat namaz) mein khary hojao mager kam. 73.03 Adhi rat ya is say bhi kuch kam kerly. 73.04 Ya is per barha dy aur Quran ko thehar thehar kar (saf ) parha ker. 73.05 Yaqeenan hum tuj per bohat bhari bat anqareeb nazil kerein gay. 73.06 Beshak rat ka uthna dil jamai kay liye intehai munasib hai aur bat ko bohat durust ker daynay wala hai. 73.07 Yaqeena tujhay din mein bohat shughal rahta hai. 73.08 To apney rab kay naam ka ziakr kiya ker aur tamam khalaiq say kat ker us ki taraf mutawajha ho ja. 73.09 Mashriq o maghrib ka perwardigar jis ka koi maabood nahi to usko apna karsaz bana lay. 73.10 Aur jo kuch wo kahy to sehta rah aur wazedari kay sath un say alag thalag rah. 73.11 Aur mujhy aur in jhotlanay waly asoda hal logon ko chor day aur inhein zara si muhlat de. 73.12 Yaqeenan hamary han sakht biriyan hein aur sulagti haoi jahanum hai. 73.13 Aur halq mein atakney wala khana hai aur dard deney wala azab. 73.14 Jis din zamen aur pahar thar thara jaein ge aur phahar misal bhor bhori rait kay telon kay hojaein ge. 73.15 Beshak hum ney tumhari taraf bhi tum per gawahi dynay wala rasool bhyj diya hay jaisa kay hum ney firoon kay pass rasol bhyja tha. 73.16 To firoon ney us rasol kin a frmani ki to hum ney usy sakht (wabal ki)pakar mein paker liya. 73.17 Tum ager kafir rahy to usdin kaisy panah pao gay jo din bachon ko burha ker day ga. 73.18 Jis dion asman phat jaey ga Allh Talah ka yeh wada ho ker hi rahnay wala hai. 73.19 Beshak yeh nasehat hay pus jo chahey apney rab ki taraf rah ikhtiyar keray. 73.20 Apka rab bakhobi janta hay ka yap aur aap kay sath kay logon ki ik jamat qareeb do tahai rat kay aur adhi rat kay aur ik tahai rat kay tahajud parhti hay aur rat din ka pora andaza Allah Tallah ko hi hay.wo (khob) janta hay kay tum is say hergiz na nibha sako gay pus isnay tum per meharbani ki lyhaza jitna qyran parhna tumhary liye asan ho itna hi parho wo janta hay kay tum mein baaz bimar bhi hongay baaz dosray zameen mein chal phir ker Allah Talah ka fazal (yani rozi bhi)talash kerein gay aur kuch log Allah talah ki rah mein jahad bhi kerein gay so tum basani jitna quran parh sako parho aur namaz ki pabandi rakho. Aur zakat dytay raha kero aur Allah Talah ko acha qarz do aur jo neki tum apney liye agay bhyjo gay ussy Allah talah kay han bhyter say bhyter aur sawab mein bohat ziyada pao gay ALLAH TALAH say moafi mangtay raho yaqeenan AllahTalah bakhshney wala meharban hai. |
Wednesday, 16 September 2015
74=== surah mudassir
World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Mudassir 74 |
(Sura-Mudassir Makka mai Nazil hui, is mai chappan (56) Aayatain hain) |
74.01 Aey kapra orhnay waly. 74.02 Khara ho ja aur agah ker de. 74.03 Aur apney rab hi ki baraiyan biyan ker. 74.04 Apney kapron ko pak rakha ker. 74.05 Na paki ko chor de. 74.06 Aur ahsaan ker ke ziyada lenae ki khuwaish na ker. 74.07 Aur apney rab ki rah mein sabar ker. 74.08 Pus jab ke sor mein phonk mari jaey gi. 74.09 To wo din bara sakht din hoga. 74.10 (jo) Kafiron per asan na hoga. 74.11 Mujhy aur usay chor de jisay mein ne akela paida kiya hai. 74.12 Aur isay bohat sa maal de rakha hai. 74.13 Aur hazir bash ferzand bhi. 74.14 Aur mein ne usay bohat kushadigi de rakhi hai. 74.15 Phir bhi uski chahat hai kay mein usay or ziyada don. 74.16 Nahi nahi wo hamari ayaton ka mukhalif hai. 74.17 An qareeb mein usay ik sakht charhai charhaon ga. 74.18 Us ne ghor ker ke tajweez ki. 74.19 Usay halakat ho kaisi (tajweez) sochi? 74.20 Wo phir gharat ho kis tarah andaza kiya. 74.21 Us ne phir dekha. 74.22 Phir teweri charhai or mun banaya. 74.23 Phir pechay hat gaya aur ghoroor kiya. 74.24 Aur kehne laga ye to sirf jado hai jo naqal kiya jata hai. 74.25 Siwaey insani kalam ke kuch bhi nahi. |
75===Surat Qiyama
World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Qiyama 75 |
(Sura-Qiyama Makka mai Nazil hui, is mai chalees (40) Aayatain hain) |
75.01 Mein qasam khata hun qayamat kay din ki. 75.02 Aur qasam khata hun uss nafas ki jo malamat kernay wala ho. 75.03 Kiya insan yeh khayal kert hai kay hum uss ki hadiyan jama kerengay hi nahi. 75.04 Han zaror kerengay hum to qadir hain kay usski por por tak durust kerdein. 75.05 Bulkay insan to chahta hai kay aagay aagay na farmaniyan kerta jaey. 75.06 Poochata hai kay qayamat ka din kab aaye ga. 75.07 Pus jis waqat kay nigha pathra jaeygi. 75.08 Aur chand benoor hojaey ga. 75.09 Aur soraj aur chand jama kerdiye jaeingay. 75.10 Us din insan kahega kay aaj bhegnay ki jagah kahan hai? 75.11 Nahi nahi koi panahgah nahi. 75.12 Aaj to teray perwardigar ki tarf hi qarar gah hai. 75.13 Aaj insan ko us kay aagay bhejay huye aur pichay choray hoye say aagah kiya jaeyga. 75.14 Bulkay insan khud apney upper aap hujjat hai. 75.15 Agercha kitnay hi bahanay pesh keryga. 75.16 (ay nabi) Aap Quran ko jadi (yaad kernay) kay liey apni zabaan ko herkat na den. 75.17 Is ka jama kerna aur (aap ki zaban say) perhna humaray zimmay hai. 75.18 Hum jab isay parhlen to aap is kay parhnay ki perwi kerein. 75.19 Phir is ka wazeh ker dyna hamary zimy hai. 75.20 Nahi nahi tum jaldi milnay wali (duniya) ki mohabat rakhtay ho. 75.21 Aur akhrat ko chor bethy ho. 75.22 Us roz bohat say chehery ter o taza aur ba runaq hongay. 75.23 Apney rab ki taraf dekhtay hongay. 75.24 Aur kitnay chehry us din (bad ronaq aur) udas hongay. 75.25 Samjhtay hongay kay in kay sath kamar tor dene wala mamla ki jaey ga. |
Tuesday, 15 September 2015
76===surah dahhar
World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Dahar 76 |
(Sura-Dahar Madina mai Nazil hui, is mai ikattees (31) Aayatain hain) |
76.01 Yaqeenan guzra hai insan per ik waqat zamanay mein jab kay yeh koi qabe e zikar chez na tha. 76.02 Besahak hum ney insan ko milay julay nutfay say imtehan kay liye paida kiya aur uss ko sunta dekhta banaya. 76.03 Hum ney ussay raah dikhai abb khua wo shukar guzar banay khua na shukra. 76.04 Yaqeenaa hum ney kafiron kay liye zanjeeron aur toq aur sholon wali aag tayar ker rakhi hai. 76.05 Besahk neek log wo jam piyein gay jiss ki azmaish kafiron ki hai. 76.06 Jo aik chesma hai jiss say Allah kay banday piyen gay uss ki nehrein nikaal ley jaengay (jidher chahen). 76.07 Jo nazar poori kertay hein aur uss din say dartay hein jiss ki buraee charon taraf phel jaanay wali hai. 76.08 Aur Allah Taalah ki mohabat mein khana khilatay hein miskeen yateem aur qediyon ko. 76.09 Hum to tumhein sirf Allah Taalah ki raza mandi kay liye khilatay hein na tum say badla chatay hein na shuker guzari. 76.10 Beshak hum apney perwardigar say uss din ka khof kertay hein jo udaasi aur sakhti wala hoga. 76.11 Pus inhen Allah Taala ney uss din ki buraee say bacha liya aur inhen taazgi aur khushi phonchai. 76.12 Aut inhen inkay sabar kay badlay jannat aur reshmi libass ata farmaye. 76.13 Yeh wahan takhton per takiey lagaey huye bethen gay na wahan aftab ki garmi dfekhein gay ja jaray ki sakhti. 76.14 In jannaton kay saaye un per jhukey huye hongay aur inkay (meway aur) gunchay neechay latkaaey huye hongay. 76.15 Aur in per chandi kay bartano aur in jaamon ka dor keraya jayega jo sheeshay kay hongay. 76.16 Sheeshy bhi chandi kay jinko (saqi ney) andazay say nap rakha hoga. 76.17 Aur inhein wahan wo jam pilaya jaey ga jin ki amezish zanjabeel ki hogi. 76.18 Jaanat ki ik nehar say jiss ka nam salsabeel hai. 76.19 Aur inkay ird gird ghoomtey phirtay hongay wo kumsin bachay jo hamesha rehnay walay hein jab tu unhein dekhay to samjhay key wo bikhray hoey sachay moti hein. 76.20 Tu wahan jahan kahin bhi nazar daley ga saraser nematein aur azeem-ul-shan saltanat hi dekhay ga. 76.21 In kay jismoon per sabz bareek aur motay reshmi kapray hongay aur enhen chandi kay kangan ka zewar pehnaya jaeyga aur inhein unka rab pak saaf sharab pilaey ga. 76.22 (kaha jaeyga) kay yeh hai teray aemal ka badla aur tumhari koshish kiqadar ki gai. 76.23 Be-shak hum ney tujh per ba tedreej quran nazil kiya hai. 76.24 Pus to apney rab kay hokum per qaim rah aur in mein say kissi gunhagar ya na shukray ka kaha na maan. 76.25 Aur apney rab kay naam ka subha o sham zikar kiya ker. 76.26 Aur raat kay waqat uss kay saamnay sajday ker aur bohat raat tak uss ki tasbeeh kiya ker. 76.27 Behak yeh log jaldi milnay wali(duniya) ko chahtay hein aur apney peechay aik baray bhari din ko choray detay hein. 76.28 Hum ney inhein peda kiya aur hum ney hi in key jor aur bandhan mazboot kiey aur hum jab chahen in kay ewaz in jesay auron ko badal layen. 76.29 Yaqeenan yeh to aik naseehat hai pus jo chahey apney rab ki raah lelay. 76.30 Aur tum na chahogay magar yeh kay Allah Taalah hi chahey beshak Allah Talah ilm wala ba hikmat hai. 76.31 Jisay chahey apni rehmat mein daakhil kerley aur zaalimon kay liye uss ney dard naak azab tayyar ker rakha hai. |
77===surah mursillaat
World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Mursilaat 77 |
(Sura-Mursilaat Makka mai Nazil hui, is mai pachaas (50) Aayatain hain) |
77.01 Dil khush-kun chalti hawaon ki qasam! 77.02 Phir zor say jhonka denay walion ki qasam! 77.03 Phir (abar ko) ubhaar ker peraganda kernay waliyon ki qasam! 77.04 Phir haq-o-batil ko joda joda kerdenay walay. 77.05 Aur wahee lanay walay farishton ki qasam! 77.06 Jo (wahee) ilzaam utarnay ya aggah kerdenay kay liey hoti hai. 77.07 Jis cheez ka tum saywada kiya jata hai wo yaqeenan honay wali hai. 77.08 Pus jab sitary be-nor kerdiey jainge. 77.09 Aur jab aasman tor phor diya jayga. 77.10 Aur jab pahar tukray tukray ker kay ura diya jayga. 77.11 Aur jab rasoolon ko waqat muqarra per laya jayga. 77.12 Kis din kay liey (in sab ko) thehraya gaya hai? 77.13 Faislay kay din kay liey. 77.14 Aur tujhay kiya maloom kay faislay ka din kiya hai? 77.15 Us din jhutlanay walon ki kharabi hai. 77.16 Kiya hum ne aglon ko halak nahi kiya? 77.17 Phir hum inkay baad peechlon ko laey. 77.18 Hum gunehgaron kay sath issi tarah kertay hein. 77.19 Us din jhutlanay walon kay liey wail (afsos) hai. 77.20 Kiya hum ney tumhein haqeer pani say (money say) peda nahi kiya. 77.21 Phir hum ney usay mazboot-o-mehfooz jaga mein rakha. 77.22 Aik muqarra waqat tak. 77.23 Phir hum ne andaza kiya aur hum kiya khoob andaza kernay walay hein. 77.24 Us din takzeeb kernay walon ki kharabi hai. 77.25 Kia hum ne zameen ko sametnay wali nahi banaya? |
78===surah naba
World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Naba 78 |
(Sura-Naba Makka mai Nazil hui, is mai chalees (40) Aayatain hain) |
78.01 Yeh log kis cheez ke bary mein poch gach ker rahe hein. 78.02 Us bari khabar kay mutaliq. 78.03 Jis kay bary mein yeh ikhtelaaf ker rahay hein. 78.04 Yaqeenan yeh abhi jan lein ge. 78.05 Phir bil yaqeen inhein buhat jald maloom hojaey ga. 78.06 Kiya hum nay zameen ko farsh nahi banaya? 78.07 Aur paharon ko meekhein (nahi banaya)? 78.08 Aur hum nay tumhein jora jora paida kiya. 78.09 Aur hum nay tumhari neend ko aram ka sabab banaya. 78.10 Aur raat ko hum nay parda banaya hai. 78.11 Aur din ko hum nay waqat-e-rozgar banaya. 78.12 Aur tumhary ooper hum nay saat (7) masboot asman banaey. 78.13 Aur ik chamkta howa roshan chiragh (sooraj) paida kiya. 78.14 Aur badlon say hum nay bakasrat behta hua pani barsaya. 78.15 Takay us say anaj or sabza ugaein. 78.16 Aur ghanay bagh (bhi ugay). 78.17 Be-shak faislay kay din ka waqat mukarer hai. 78.18 Jis din kay sor mein phonka jaey ga phir tum foaj der foaj chale aao ge. 78.19 Aur asman khool diaya jaey ga to is mein darwazy darwazy hojaein ge. 78.20 Aur pahar chalaye jaein ge pus wo sarab hojaein ge. 78.21 Be-shak dozakh ghaat mein hai. 78.22 Sarkashon ka thikana wohi hai. 78.23 Is mein wo mudaton tak pary rahein ge. 78.24 Na kabhi is mein khunki ka maza chakein gay na pani ka. 78.25 Siwaey garm pani aur (behti) peep ke. |
Sunday, 13 September 2015
79===surah naziaat
World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Naziaat 79 |
(Sura-Naziaat Makka mai Nazil hui, is mai chheyalees (46) Aayatain hain) |
79.01 Doob ker sakhti say khenchnay walon ki qasam! 79.02 Band khol ker chura denay walon ki qasam! 79.03 Aur terney phirnay walon ki qasam! 79.04 Phir daor ker age barhnay walon ki qasam! 79.05 Phir kam ki tadbeer kernay walon ki qasam! 79.06 Jis din kanpney wali kanpe gi. 79.07 Us ky bad ik peechy aney wali (peechy peechy) aye gi. 79.08 (buhat se) Dil us din dharakte honge. 79.09 Jinki nigahen nichi hongien. 79.10 kehty hein ke kiya hum pehli ki si halat ki taraf phir laot aye jaein ge. 79.11 Kiya us waqt jab ke hum bosida hadiyaan hojaein ge. 79.12 Kehty hein ke phir to ye laotna nuksandeh hai. 79.13 (maloom hona chaiey) wo to sirf ik (khufnak) dant hai. 79.14 Kay (jis kay zihar hote hi) wo ik dam medan mein jama hojaein ge. 79.15 Kiya Musa (aleh-e-salam)ki khabar tumhein phunchi hai? 79.16 Jabkay unhein unkay rab nay pak medan tuaa mein pukara. 79.17 (kay) Tum firaon kay pass jao unsay sirkashi ikhtyar kerli hai. 79.18 Usay kaho kay kiya to apnai durstagi or islaah chata hai. 79.19 Aur yeh ky mein tujhhy terey Rab ki rah dikhata takay tu (us say) darnay lage. 79.20 Pus usay bari nishani dikhai. 79.21 To us ney jhutlaya aur na fermani ki. 79.22 Phir alag hat ker koshishain kerne laga. 79.23 Phir sab ko jama ker ke ba awaz-e-buland pukaara ke. 79.24 Tum sab ka Rab mein hi hon. 79.25 To (sab say buland o baala) Allah ney bhi usay aakhrat ke aur duneya ke azaab mein giriftar kerliya. |
80===surah abbs
| |||||||||||||||||||||||||||||
| |||||||||||||||||||||||||||||
|
|
81===surah takveer
World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Takveer 81 |
(Sura-Takveer Makka mai Nazil hui, is mai unattees (29) Aayatain hain) |
81.01 Jab sooraj lappet liya jaey ga. 81.02 Aur jab sitary be noor hojain gay. 81.03 Aur jab pahar chalaye jain gay. 81.04 Aur jab dus mah ki hamla ontniyaan chor di jain gi. 81.05 Aur jab wehshi janwar ikhattay kiey jain gay. 81.06 Aur jab samander bharka diey jaien gay. 81.07 Aur jab har har qisam ke log mila diye jaein gay. 81.08 Aur jab zinda gari hui larki say sawal kiya jaey ga. 81.09 Kay kis gunha ki waja say wo qatal ki gai. 81.10 Aur jab nama-e-aamal khol diey jaein gay. 81.11 Aur jab asman ki khaal utar li jaey gai. 81.12 Aur jab jahanum bharkai jaey gi. 81.13 Aur jab jant nazdek kerdi jaey gi. 81.14 To us din her shaks jan lyga jo kuch yeh ker aya hoga. 81.15 Mein qasam khata hon pechay hatnay waly. 81.16 Chalnay phirney waly chupney waly sitaron ki. 81.17 Aur raat ki jab janey lage. 81.18 Aur subha ki jab chamekne lage. 81.19 Yaqenan yeh ik buzrug rasool ka kaha howa hai. 81.20 Jo qooat wala hai arsh waly (Allah) kay nazdeek buland martaba hai. 81.21 Jis ki (asmanon mein) ita-at ki jati hai ameen hai. 81.22 Aur tumhara sathi dewana nahi hai. 81.23 Isnay us (farishty) ko asman kay khulay kinare per dekha bhi hai. 81.24 Aur yeh ghaib ki baton ko batlaney mein bakheel bhi nahi. 81.25 Aur yeh Quran shaitan mardod ka kalam nahi. 81.26 Phir tum kahan jarahy ho. 81.27 Yeh to tamam jahan walon kay liey nasehat nama hai. 81.28 (bilkhosos) us kay liey jo tum mein say sedhi rah per chalna chahay. 81.29 Aur tum baghair perwardegar-e-alam kay chahay, kuch nahi chah sakhty. |
82===surah infittar
World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Infitaar 82 |
(Sura-Infitaar Makka mai Nazil hui, is mai unnees (19) Aayatain hain) |
82.01 Jab asman phat jaey ga. 82.02 Aur jab sitary jhar jaein gay. 82.03 Aur jab samander bhahe niklein gay. 82.04 Aur jab qabreen (shak kerkay) ukhaar di jaey gi. 82.05 (us waqat) Her shaks apnay agay bhaijay huy aur peechay choray huy (yani aglay pichlay aamal) ko maloom ker lega. 82.06 Aey insan tujhy apnay Rab-e-karim say kis cheez nay behkaya? 82.07 Jis (Rab nay) tujhy paida kiya phir thek thak kiya phir (durust) baraber banaya. 82.08 Jis sorat mein chaha tujhy jor diya. 82.09 Hergiz nahi balky tum to jaza-o-saza kay din ko jhotlaty ho. 82.10 Yaqenan tum per nigheban izzat waly. 82.11 Likhney waly muqerer hein. 82.12 Jo kuch tum kerty ho wo janty hein. 82.13 Yaqenan nek log (jannat kay aesh-o-aram aur) naimaton mein hongay. 82.14 Aur yaqenan badkar log dozakh mein hongay. 82.15 Badly waly din is mein jaein gay. 82.16 Wo is say kabhi ghaaib na honey paein gay. 82.17 Tujhy kuch khabar bhi hay kay badlay ka din kiya hai? 82.18 Mein tujhy phir (kehta hon kay) tujhay kiya maloom kay jaza (aur saza) ka din kia hai. 82.19 Wo hay jis din koi shaks kisi shaks kiy liey kisi chez ka mukhtar na hoga aur (tamamter) ahykam us roz Allah kay hi hongay. |
Saturday, 12 September 2015
83==Sura-Mutafifeen
World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Mutafifeen 83 |
(Sura-Mutafifeen Makka mai Nazil hui, is mai chhatees (36) Aayatain hain) |
83.01 Bari kharabi hay nap tool mein kami kerney walon ki. 83.02 kay jab logon say nap kerletay hein to pora pora letay hein. 83.03 Aur jab inhein nap ker ya tool ker dyty hein to kam detay hein. 83.04 kiya inhen apney marney kay bad ji uthney ka khayal nahi. 83.05 Us azeem din kay liey. 83.06 Jis din sab log rab ul alameen kay samnay khary hongay. 83.07 Yaqenan badkaron ka nama-e-aamal sijjeen mein hai. 83.08 Tujhy kiya maloom sijjeen kiya hai? 83.09 (yeh to) Likhi hui kitab hai. 83.10 Us din jhotlanay walon ki bari khrabi hai. 83.11 Jo jaza o saza kay din ko jhotlaty hein. 83.12 Issy sirf wohi jhotlata hay jo had say agy nikal janey wala (aur) ghunaghar hota hai. 83.13 Jab iskay samnay hamari ayatein parhi jati hein to keh dyta hay kay yeh aglon kay afsaney hein. 83.14 Yun nahi balky in kay dilon per in kay amal ki waja say zang (charh gaya) hai. 83.15 Hergiz nahi yeh log us din apnay rab say oat mein rakhy jaein gay. 83.16 Phir yeh log bil yaqeen jahanum mein jhonky jaein gay. 83.17 Phir keh diya jaey ga kay yehi hay wo jissy tum jhotlaty rahay. 83.18 Yaqenan yaqenan nekokaron ka nama-e-amal illieen mein hai. 83.19 Tujhy kiya pata kay illieen kiya hai? 83.20 (wo to) Likhi hui kitab hai. 83.21 Muqarab (farishty) iska mushahida kerty hein. 83.22 Yaqeena nek log (bari) nematon mein hongay. 83.23 Mesherion per bethy dekh rahy hongay. 83.24 To in kay chehron say hi nematon ki taro tazgi phehchan lay ga. 83.25 Yeh log sir ba mehar khalis sharab pilaye jaingay. |
84=== surah inshqaq
World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Inshiqaaq 84 |
(Sura-Inshiqaaq Makka mai Nazil hui, is mai pacchees (25) Aayatain hain) |
84.01 Jab asman phat jaey ga. 84.02 Aur apney rab kay hokum per kan lagaey ga aur issi kay laiq wo hai. 84.03 Aur jab zameen (khench ker)phela di jaygi. 84.04 Aur iss mein jo hai ussay wo ugal degi aur khali hojaygi. 84.05 Aur apney rab ky hokoom per kaan lagaye gi aur isi kay laeeq wo hai. 84.06 Aey insaan! Tu apney rab say milney tak yeh koshish aur tamam kaam aur mehnatein kerky ussymulaqatkerney wala hai. 84.07 To (us waqt) jis shaks kydahaney hath mein aamaal naama diya jayga. 84.08 Us ka hisab to bari aasani say liya jayga. 84.09 Aur wo apney ehal ki taraf hansi khushi lot ayega. 84.10 Han jis shaks ka aamaal nama us ki peeth ky peechy say diya jayga. 84.11 To wo maut ko bulaney lagay ga. 84.12 Aur bharakti hui jahanum meindakhil hoga. 84.13 Yeh sahks apnay mutalqeen mein (duniya mein) khush tha. 84.14 Iska khayal tha kay Allah ki taraf loot ker hi na jayga. 84.15 Que nahi hanlankay iska rab usy bakhobi dekh raha tha. 84.16 Mujhy shafaq ki qasam! aur raat ki! 84.17 Aur iski jama kerda chezon ki qasam! 84.18 Aur chand ki jab kay wo kamil hojata hai. 84.19 Yaqenan tum ik halat say dosri halat per phuncho gay. 84.20 Inhein kia hogaya kay iman nahi latay. 84.21 Aur jab in kay pass quran parha jata hai to sajda nahi kertay. 84.22 balky jinhon nay kufur kiya wo jhotla rahy hein. 84.23 aur Allah khob janta hai jo kuch yah dilon mein rakhty hein. 84.24 Inhen alamnak azabon ki khush khabri suna do. 84.25 Haan iman walon aur nek amal walon ko be shumar aur na khtam honay wala ajar hai. |
85=== surah brooj
World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Burooj 85 |
(Sura-Burooj Makka mai Nazil hui, is mai baees (22) Aayatain hain) |
85.01 Burjoon waly asman ki qasam! 85.02 Wada kiey huy din ki qasam! 85.03 Hazir honey waly aur hazir kiey hoy ki qasam. 85.04 (kay) Kahndaqon waly halak kiey gaye. 85.05 Wo ik aag thi endhan wali. 85.06 Jab kay wo log uskay ass pass bethy thay. 85.07 Aur musalmano kay sath jo ker rahy thy us ko apney samney dekh rahy thay. 85.08 Yeh log in musalmano (kay kisi aur gunha ka) badla nahi lay rahy thy siway iskay wo Allah galib laeeq e hamd ki zat per iman laey thay. 85.09 Jis kay liey asman o zameen ka mulk hay aur Allah Taalah kay samney hy her cheez. 85.10 Be-shak jin logon na musalman mardon aur auraton ko sataya phir tooba (bhi)na ki to unkay liey jahanum ka azab hay aur jalney ka azab hai. 85.11 Be-shak iman qabool kerney walo aur nek kam kerney walon kay liey wo baghat hein jin kay nechay nehrein beh rahi hein yehi bari kamyabi hai. 85.12 Yaqennan tery rab ki paker bari sakht hai. 85.13 Wohi phyli martaba paida kerta hay aur wohi dobara paida kery ga. 85.14 Wo bara bakhsish kerney wala aur bohat mohabat kernay wala hai. 85.15 Arsh ka malik azmat wala hai. 85.16 Jo chahy usay ker guzarney wala hai. 85.17 Tujhy lashkaron ki khabar bhi mili hai? 85.18 (Yani) Firaon aur samood ki. 85.19 (kuch nahi) Balky kafir to jhotlaney mein pary huy hein. 85.20 Aur Allah bhi unhein her taraf say ghery huy hai. 85.21 Balkay yeh quran hay bari shan wala. 85.22 Loh-e-mahfooz mein (likha hoa) hai. |
86=== surah tariq
|
87===surah aalaa
World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Aala 87 |
(Sura-Aala Makka mai Nazil hui, is mai unnees (19) Aayatain hain) |
87.01 Apney buhat hi buland Allah kay naam ki pakizgi biyan ker. 87.02 Jisnay paida kiya aur sahi salim banaya. 87.03 Aur jisnay (thek thak) andaza kiya aur phir raah dekhai. 87.04 Aur jis nay taza ghass paida ki. 87.05 Phir ussney is ko (sukha ker) siyah kora ker diya. 87.06 Hum tujhy parhaein gay phir to na bhooly ga. 87.07 Magar jo kuch Allah chahey wo zahir aur poshida ko janta hay. 87.08 Hum apky liey asani paida kerdein gay. 87.09 To ap nasehat kerty rahein ager nasehat kuch faida day. 87.10 Derney wala to nasehat lega. 87.11 (han) Badbakht is say gurez karey ga. 87.12 Jo bari aag mein jaey ga. 87.13 Jahan phir won a mary ga jnajeiy ga (balky halat e nazah mein para rahy ga). 87.14 Be-shak usney falah pali jo pak hogaya. 87.15 Aur jis nay apney Rab ka naam yad rakha aur namaz parhta raha. 87.16 Lakin tum to duniya ki zindagi ko tarjeeh detay ho. 87.17 Aur akhrat buhat bhyter aur baqa wali hay. 87.18 Yeh batein phyli kitabon mein bhi hein. 87.19 (yani) Ibrahem aur Moosa ki kitabon mein. |
88=== surah gashiya
World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Ghashiya 88 |
(Sura-Ghashiya Makka mai Nazil hui, is mai chhabbees (26) Aayatain hain) |
88.01 Kiya tujhy bhi chopa lyney wali (qiyamat) ki khabar phunchi hay. 88.02 Us din bohat say chehry zalil hongay. 88.03 (aur) Mehnat kerney walay thakay huye hongay. 88.04 Woh dehakti hoi aag mein jaein gay. 88.05 Aur nihayat garm chasmy ka pani unko pilaya jaey ga. 88.06 In kay liey siway-e-kanty dar darkhton kay aur kuch khana na hoga. 88.07 Jo na mota karey ga na bhook mitaey ga. 88.08 Buhat say chehry usdin tar o taza aur (asoda hall) hongy. 88.09 Apni koshish per khush hongy. 88.10 Buland o bala janaton mein hongay. 88.11 Jahan koi byhoda bat nahi sunein gaein. 88.12 Jahan bhyta hoa chashma hoga. 88.13 (Aur) us mein onchy onchy takht hongy. 88.14 Aur aabkhory rakhy huy (hongy). 88.15 Aur ik qatar mein lagy hoy takiey hongy. 88.16 Aur makhmali masnadein pheli pari hongi. 88.17 Kiya yeh onton ko nahi dekhty kay wok is tarah paida kiey gay hein. 88.18 Aur asmano ko kay kis tarah oncha kiya gaya hai. 88.19 Aur paharon ki tarf kay kis tarah gar dey gay hein. 88.20 Aur zameen ki tarf kay kis tarah bechaei gai hai. 88.21 Pus ap nasehat ker dia kerein (kyun ke) ap sirf nasehat kerney waly hein. 88.22 Ap kuch in per darogha nahi hein. 88.23 Han jo shakhs rogardani kerty aur kufur kery. 88.24 Usy Allah Taalah buhat bara azab dega. 88.25 Be-shak hamari taraf inko lotna hai. 88.26 Phir be-shak hamaray zimmay hay inn say hisab lena. |
Friday, 11 September 2015
89=== surah fajjar
World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Fajar 89 |
(Sura-Fajar Makka mai Nazil hui, is mai tees (30) Aayatain hain) |
89.01 Qasam hay fajar ki. 89.02 Aur dus raton ki. 89.03 Aur juft aur taaq ki. 89.04 Aur raat ki jab wo chalney lagy. 89.05 Kiya inmein aqalmand kay wasty kafi qisam hay? 89.06 Kiya ap ney nahi dekha ka yap kay rab nay Qom aad kay sath kiya kiya? 89.07 Satoonon waly erum kay sath. 89.08 Jis ki manind (koi qum) mulko mein paida nahi ki gai. 89.09 Aur quom-e-samood kay sath jinho nay wadi mein bary bary pather trashy thy. 89.10 Aur firoon kay sath jo meekhon wala tha. 89.11 In sabhon nay shiron mein sir utha rakha tha. 89.12 Aur bohat fasad macha rakha tha. 89.13 Akhir tery rab nay in sab py azab ka kora barsaya. 89.14 Yaqeenan tera rab ghat mein hay. 89.15 Insan (ka yeh hal hay kay) jab ussy us ka rab azmata hay aur izat o neymat dyta hay to wo khyney lagta hay kay mery rab nay mujhy izat dar banadiya. 89.16 Aur jab wo usko azmata hay aur uski rozi tang kerdyta hay to wo kehney lagta hay kay mera rab nay meri ahanat ki hy (aur zalil kiya). 89.17 Aiaa herghiz nahi balkay (bat yeh hai) kay tum (hi) log yateemo ki izat nahi kerty. 89.18 Aur miskino kay khilaney ki ik dosry ko targheeb nahi kerty. 89.19 Aur (mardon ki)miras sameth sameth ker khaty ho. 89.20 Aur maal ko ji bhar ker aziz rakhty ho. 89.21 Yaqeenan jis waqat zameen koot koot ker baraber kerdi jaey gi. 89.22 Aur tera rab(khud )ajaey ga aur farishty safen bandh ker(ajaey gay). 89.23 Aur jis din jhanum bhi lai jaey gi oss din insan ko samjh ayegi magar aj osky samjhney ka faida kahan? 89.24 Wo kahy ga kay kash kay mein nay apni is zindagi kay liey kuch peshgi saman kiya hota. 89.25 Pus aj Allah kay azab jaisa azab kisi ka na hoga. 89.26 Na uski qaid o band jaisi kisi ki qaid o band hogi. 89.27 Ay itmynan wali rooh. 89.28 To apney rab ki taraf loot chal is tarah kay to issy razi wo tujh say khush. 89.29 Pus mery khas bandon mein dakhil hoja. 89.30 Aur meri janat mein chali ja. |
90===surah balad
World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Balad 90 |
(Sura-balad Makka mai Nazil hui, is mai bees (20) Aayatain hain) |
90.01 Mai is shahar ki qasam khata hon. 90.02 Aur ap is shahar mai muqeem hain. 90.03 Aur (qasam hai) insani baap aur olad ki. 90.04 Yaqeenan hum ney insan ko (bari) mushaqat mein paida kia hai. 90.05 kiya yeh guman kerta hy kay yeh kisis kay bas mein hi nai? 90.06 khyta (phirta) hy ky mein ney to bohat kuch maal khrch ker dala. 90.07 kiya (yun) samjhta hy ky kisi nay ussy dekha (hi) nahi? 90.08 kiya hum nay uski do ankhein nahi banain. 90.09 Aur zaban aur hunt (nahi banaey). 90.10 Hum nay dekha diy usko dono rasty. 90.11 So issy na hosakha kay ghatti mein dakhil hota. 90.12 Aur kiya samjha ky ghatti hy kiya? 90.13 Kisi garden (gulam londi) ko azad kerna. 90.14 ya bhok waly din khana khilana. 90.15 Kisi reshtydar yateem ko. 90.16 Ya khahsaar miskeen ko. 90.17 Phir unlogon mein say hojata jo iman laey aur ik dosry ko sabar ki aurreham kerney ki wasiyat kerty hein. 90.18 Yehi log hein daein bazo waly (khushbakhti waly). 90.19 Aur jin logon nay hamari ayaton kay sath kufur kiya yeh kam-bakhti waly hein. 90.20 In hi per aag hogi jo charo taraf say gheri hui hogi. |
91=== surah shams
World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Shams 91 |
(Sura-Shams Makka mai Nazil hui, is mai pandrah (15) Aayatain hain) |
91.01 Qasam hai soraj ki aur uski dhop ki. 91.02 Qasam hai chand ki jab uskay peechay aay. 91.03 Qasam hai din ki jab soraj ko numaya keray. 91.04 Qasam hai raat ki jab ussay dhanp lay. 91.05 Qasam hai aasman ki aur uskay bananey ki. 91.06 Qasam hai zamen ki or ussy hamwar kernay ki. 91.07 Qasam hai nafs ki or ussy durust bananey ki. 91.08 Phir samjh di usko badkari ki aur bach ker chalnay ki. 91.09 Jiss nay ussay pak kiya wo kamyab hua. 91.10 Aur jiss nay ussay khak mein mila diya wo nakam hua. 91.11 (Quom) Samood nay apni sarkashi kay baees jhutlaya. 91.12 Jab unka bara badbakht uth khara hua. 91.13 Unhein Allah kay rassol nay farmadiya tha kay Allah Taalah ki ontni aur uss kay peeenay ki bari ki (hifazat karo). 91.14 Un logon nay apnay pyghamber ko jhota samjh ker uss ontni ki kochein kaat dein pus unkay rab nay unkay gunahon kay baees un per halakat dali aur phir halakat ko aam kerdiya aur uss basti ko barabar ker diya. 91.15 Wo nahi darta uskay tabahkun anjam say. |
92=== surah lail
World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Lail 92 |
(Sura-Lail Makka mai Nazil hui, is mai ikkees (21) Aayatain hain) |
92.01 Qasam hai raat ki jab cha jaey. 92.02 Aur qasam hai din ki jab roshan ho. 92.03 Aur qasam hai uss zaat ki jiss nay nar-o-mada ko peda kiya. 92.04 Yaqeenan tumhari koshish mukhtalif qisim ki hai. 92.05 Jiss nay diya (Allah ki rah mein)aur dara (apnay rab say). 92.06 Aur nek baat ki tasdeq kerta rahega. 92.07 To hum bhi usko aasan rasty ki saholat dein gay. 92.08 Lekin jiss nay bakheel ki aur beparwai barti. 92.09 Aur nek baat ki takzeeb ki. 92.10 To hum bhi uski tangi-o-mushkil kay saman mayuser kerdein gay. 92.11 Uska maal ussy (ondha) giraney kay waqat kuch kam na ay ga. 92.12 Be-shak raah dikha dena himaray zimmay hai. 92.13 Aur humary hi hath akhrat aurduniya hai. 92.14 Mein nay to tumhein sholay marti hui aag say dara diya hai. 92.15 Jis mein sirf wo hi badbakht dakhil hoga. 92.16 Jis nay jhutlaya aur (uski perwi say) mun pher liya. 92.17 Aur is say assa shaks dor rakha jaey ga jo bara perhezgar hoga. 92.18 Jo paki hasil kernay kay liey apna maal deta hai. 92.19 Kissi ka uss per koi ehsan nahi kay jiss ka badla diya jaraha ho. 92.20 bulkay sirf apnay perwardigar buzruk-o-buland ki raza chahnay kay liey. 92.21 Yaqeenan wo (Allah bhi) un qareeb raza mand hojaeyga. |
Subscribe to:
Posts (Atom)