World visitors

Flag Counter

Sunday, 3 January 2016

67===surah mulk

7rangi-Roman-Quran-Shareef
Surat-Mulk 67
(Sura-Mulk Makka mai Nazil hui, is mai tees (30) Aayatain hain)
 
67.01 Boht babarkat hai woh (Allah) jiss kay hath mein badshaee hai aur jo her cheez per qudrat rakhnay wala hai.

67.02 Jiss nay mot aur hayat ko iss liye peda kiya kay tumhen aazmaye kay tum mein say achay kaam kon kerta hai aur woh ghalib (aur) bakhshnay wala hai.

67.03 Jiss ney saat aasman uper talay banaye (to aey dekhnay walay) Allah Rehman ki pedaish mein koi bey-zaabtagi na dekhay ga.

67.04 Doobara (nazren daal ker) dekhley kiya koi shigaaf bhi nazar aaraha hai.

67.05 Phir dohra ker do do baar dekhley teri nigah teri taraf zalil(o-aajiz) hoker thaki hui lot aayegi.Be-shak hum ney aasman duniya ko chiraghon (sitaron) say aarasta kiya aur enehn shetanon kay maarnay ka zariya banadiya aur shetanon kay liye hum ney (dozakh ka jalanay wala) azab tayyar kerdiya.

67.06 Aur apnay rab kay sath kafur kernay walon kay liye jahannum ka azab hai aur woh kiya hi buri jagah hai.

67.07 Jab iss mein yeh daaley jayengey to iss ki baray zor ki aawazen sunen gey aur woh josh maar rahi hogi.

67.08 Qareeb hai kay (abhi) gussay kay maaray phat jaye jab kabhi iss mein koi giroh dala jayega uss say jahannum kay daroghay poochen gey kay kiya tumharay pass daranay wala koi nahi aaya tha?

67.09 Woh jawab dengey kay be-shak aaya tha lekin hum ney ussay jhutlaya aur hum ney kaha kay Allah taalaa ney kuch bhi naazil nahi farmaya tum boht bari gumrahi mein hi ho.

67.10 Aur kahen gey kay agar hum suntay hotay ya aqal rakhtay hotay to dozakhiyon mein (shareek) na hotay.

67.11 Pus unho ney apney jurum ka iqbal kerlia abb yeh dozakhi dafa hon (door hon).

67.12 Be-shak jo log apnay perwerdigaar say ghaeebana tor per dartay rehtay hain unkay liye bakhhsish hai aur bara sawab hai.

67.13 Tum apni baton ko chupao ya zahir kero woh to seenon ki posheedgiyon ko bhi bakhoobi jaanta hai.

67.14 Kiya wohi na janay jiss nay peda kiya? phir woh bareek been aur bakhabar bhi ho.

67.15 Woh zaat jiss ney tumharay liye zamin ko past-o-mutee kerdia takay tum uss ki raahon mein chaltay phirtay raho aur Allah ki roziyan khao (piyo) ussi ki taraf (tumhen) ji ker uth khara hona hai.

67.16 Kiya tum iss baat say bey khof hogaye ho kay aasmanon wala tumhen zamin mein dhansa dey aur achanak zamin laraznay lagay.

67.17 Ya kiya tum iss baat say nadar hogaye ho kay aasmanon wala tum per pathar barsa dey? Phir to tumhen maloom ho hi jayega kay mera darna kaisa tha.

67.18 Aur inn say pehlay logon ney bhi jhutlaya tha to dekho inn per mera azab kaisa kuch hua?

67.19 Kiya yeh apnay uper per kholay huye aur (kabhi kabhi) sametay huye(urnay walay) parindon ko nahi dekhtay enhen (Allah) Rehman hi (hawa-o-faza mein) thaamay huye hai. be-shak her cheez uski nigah mein hai.

67.20 Siwaye Allah kay tumhara woh konsa lashkar hai jo tumhari madad kersakay kafir to sarasar dhokay hi mein hain.

67.21 Agar Allah taalaa apni rozi rok ley to batao kon hai jo phir tumhen rozi dey ga? bulkay (kafir) to sirkashi aur bidaknay per arr gaye hain.

67.22 Acha woh shaks zada hidayat wala hai jo apnay mun kay bal ondha hoker chalay ya woh jo seedha (peron kay bal) raah-e-raast per chala ho?

67.23 kehdijiye kay wohi (Allah) ahi jiss ney tumhen peda aur tumharay kaan aackhen aur dil banaye tum boht hi kum shukerguzari kertay ho.

67.24 Kehdijiye! kay wohi hai jiss ney tumhen zamin mein pehla diya aur usski taraf tum ikhattay kiye jaogey.

67.25 (Kafir) poochtay hain kay woh wada kab zahir hoga agar tum sachay ho (to batao?)

67.26 Aap kehdijiye kay iss ka ilm to Allah hi ko hai mein to sirf khulay tor per aagah kerdenay wala hon.

67.27 Jab yeh log iss waday ko qareeb tar paalen gey uss waqt unn kafiron kay chehray bigar jayen gey aur kehdia jayega kay yehi hai jissay tum talab kiya kertay thay.

67.28 Aap kehdijiye acha agar mujhay aur meray saathiyonko Allah taalaa halak kerdey ya hum per reham keray (bahar sooratyeh to batao) kay kafirron ko dardnaak azab say kon bachaye ga?

67.29 Aap kehdijiye! kay wohi Rehman hai hum to iss per emaan la chukay aur issi per humara bharosa hai tumhenunqareeb maloom hojayega kay sareeh gumrahee mein kon hai?

67.30 Aap keh dijiye !kay acha yeh to batao kay agar tumharay (peenay ka) paani zamin mein utar jaye to kon hai jo tumharay liye nithra hua paani laye?

1 comment: