|
Asalam O Alaikum. Allah Pak Humein Deen -E- Islam Ko Sahi Sahi Samjnai Aur Us Par Amal Karnai Ki Tofeeq Naseeb Farmahein. Isliye Mein Aap Kai Liye Laya Hun Quran Pak Ka Urdu Mein Tarjuma. Mairay liay or maray khandaan k liay dua zror kray Special thanks to sir Faisal iqbal admin@7rangi.com
Wednesday, 10 February 2016
64===surah taghabunn
65===surah tallaq
World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Tallaq 65 |
(Sura-Tallaq Makka mai Nazil hui, is mai bara (12) Aayatain hain) |
65.01 Aey nabi! (apni ummat say kaho kay) jab tum apni biwiyon ko tallaq dena chahao to unn ki iddat (kay dino kay aaghaaz) mein unhen tallaq do aur iddat ka hisab rakho aur Allah say jo tumhara perwerdigar hai dartay raho na tum enhen inn kay gharon say nikalo aur na woh (khud) niklen haan yeh aur baat hai kay woh khuli buraee ker bethen yeh Allah ki muqarrar kerda hadden hain jo shaks Allah ki haddon say aagay barh jaye uss ney yaqeenan apney upper zulm kiya tum nahi jantay shayad iss kay baad Allah Taalaa koi naee baat peda ker dey. 65.02 Pus jab yen aurten apni iddat poori kerney kay qarib phonch jayen to unhen ya to qaeeday kay mutabiq apney nikkah mein rehney do ya dastoor kay mutabiq enhen alag kerdo aur aapas mein do aadil shakson ko gawah kerlo aur Allah ki raza mandi kay liye theek theek gawahi do. Yehi hai woh jiss ki naseehat ussay ki jati hai jo Allah per aur qayamat kay din per eman rakhta ho aur jo shaks Allah say darta hai Allah uss kay liye chutkaray ki shakal nikal deta hai. 65.03 Aur ussay aisi jagah say rozi deta hai jiss ka ussay guman bhi na ho aur jo shaks Allah per tawakkal keray ga Allah ussay kafi hoga. Allah Taalaa apna kaam poora ker kay hi rahey ga. Allah Taalaa ney her cheez ka aik andaza muqarrar ker rakha hai. 65.04 Tumhari aurton mein say jo aurten hez say na umeed ho gaee hon agar tumhen shuba ho to unn ki muddat teen maheeney hai aur unn ki bhi jinhen hez aana shuroo hi na hua ho aur hamila aurton ki iddat unn kay waza-e-hamal hai aur jo shaks Allah Taalaa say daray ga Allah uss kay (her) kaam mein aasani ker dey ga. 65.05 Yeh Allah ka hukum hai jo uss ney tumhari taraf utara hai aur jo shaks Allah say daray ga Allah uss kay gunah mita dey ga aur ussay bara bhari ajar dey ga. 65.06 Tum apni taqat kay mutabiq jahan tum rehtay ho wahan inn (tallaq wali) aurton ko rakho aur enhen tang kerney kay liye takleef na phonchao aur agar woh hamal say hon to jab tak bacha peda ho lay enhen kharach detay raha kero phir agar tumharay kehney say wohi doodh pilayen to tum enehn inn ki ujrat dey do aur ba-hum munasib tor per mashwara ker liya kero aur agar tum aapas mein kash-ma-kash kero to iss kay kehney say koi aur doodh pilaye gi. 65.07 Kushadgi walay ko apni kushadgi say kharach kerna chahaiye aur jiss per uss kay rizq ki tangi ki gaee ho ussay chahaiye kay jo kuch Allah ney ussay dey rakha hai ussi mein say (apni hasb-e-heysiyat) dey kissi shaks ko Allah takleef nahi deta magar utni hi jitni taqat ussay dey rakhi hai Allah tangi kay baad aasani aur faraghat bhi ker dey ga. 65.08 Aur boht si basti walon ney apney rab kay hukum say aur uss kay rasoolon say sir taabi ki aur hum ney bhi unn say sakht hisab kiya aur unhen azab diya unn dekha (sakht) azab. 65.09 Pus unhon ney apney kartoot ka maza chakh liya aur anjam kaar unn ka khasara hi hua. 65.10 Unn kay liye Allah Taalaa ney sakht azab tayyar ker rakha hai pus Allah say daro aey aqal mand eman walo. Yaqeenan Allah ney tumhari taraf naseehar utaar di hai. 65.11 (yani) rasool jo tumhen Allah kay saaf saaf ehkaam parh sunata hai takay unn logon ko jo eman layen aur nek amal keren woh tareekiyon say roshni ki taraf ley aaye aur jo shaks Allah per eman laye aur nek amal keray Allay ussay aisi jannaton mein dakhil keray ga jiss kay neechay nehren jari hain jin mein yeh hamesha hamesha rahen gay. Be-shak Allah ney ussay behtareen rozi dey rakhi hai. 65.12 Allah woh hai jiss ney saat aasaman banaye aur issi kay misil zaminen bhi. Iss ka hukum inn kay darmiyan utarta hai takay tum jaan lo kay Allah her cheez per qadir hai aur Allah Taalaa ney her cheez ko ba-aetbaar ilm gher rakha hai. |
66===surah tahreem
World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
Surat-Tehreem 66 |
(Sura-Tehreem Makka mai Nazil hui, is mai bara (12) Aayatain hain) |
66.01 Aey nabi! Ji ss cheez ko Allah ney aap kay liye halal ker diya hai ussay aap kiyon haram kertay hain? (Kiya) aap apni biwiyon ki raza mandi hasil kerna chahatay hain aur Allah bakhshney wala reham kerney wala hai. 66.02 Tehqeeq kay Allah Taalaa ney tumharay liye qasmon ka khol daalna muqarrar ker diya hai aur Allah Taalaa tumhara kaar saaz hai aur wohi (pooray) ilm wala hikmat wala hai. 66.03 Aur yaad ker jab nabi ney apni baaz aurton say aik posheeda baat kahi pus jab uss ney uss baat ki khabar ker di aur Allah ney apney nabi ko iss per aagah ker diya to nabi ney thori si baat to bata di aur thori si taal gaye phir jab nabi ney apni biwi ko yeh baat bataee to woh kehnay lagi iss ki khabar aap ko kiss ney di. Kaha sab jannay walay poori khabar rakhney walay Allah ney mujhay yeh batlaya hai. 66.04 (aey nabi ki dono biwiyo!) agar tum dono Allah kay samney tauba kerlo (to boht behtar hai) yaqeenan tumharay dil jhuk paren hain aur agar tum nabi kay khilaf aik doosray ki madad kero gi pus yaqeenan uss ka kaar saaz Allah hai aur jibraeel hain aur nek ehal-e-eman aur inn kay ilawa farishtay bhi madad kerney walay hain. 66.05 Agar (woh) payghumbar tumhen tallaq dey den to boht jald enhen inn ka rab! Tumharay badlay tum say behtar biwiyan inayat farmaye ga jo islam waliyan eman waliyan tauba kerney waliyan ibadat baja laaney waliyan rozay rakhney waliyan hongi baiwa aur kanwariyan. 66.06 Aey eman walo! Tum apney aap ko aur apney ghar walon ko uss aag say bachao jiss ka endhan insan hain aur pathar jiss per sakht dil mazboot farishtay muqarrar hain jinhen jo hukum Allah Taalaa deta hai uss ki na farmani nahi kertay bulkay jo hukum diya jaye baja laatay hain. 66.07 Aey kafiro! Aaj tum uzur aur bahana mat kero. Tumhen sirf tumharay kartoot ka badla diya jaraha hai. 66.08 Aey eman walo! Tum Allah kay samney sachi khalis tauba kero. Qareeb hai kay tumhara rab tumharay gunah door kerday aur tumhen aisi jannaton mein dakhil keray jin kay neechay nehren jari hain. Jiss din Allah Taalaa nabi ko aur eman daron ko jo inn kay sath hain ruswa na keray ga. Inn ka noor inn kay samney aur inn kay dayen dor raha hoga. Yeh duayen kertay hongay aey humaray rab humen kaamil noor ata farma aur humen bakhsh dey yaqeenan tu her cheez per qadir hai. 66.09 Aey nabi! Kafiron aur munafiqon say jihad kero aur inn per sakhti kero inn kay thikana jahannum hai aur woh boht buri jagah hai. 66.10 Allah Taalaa ney kafiron kay liye nooh ki aur loot ki biwi ki misal biyan farmaee yeh dono humaray bandon mein say do (shaista aur) nek bandon kay ghar mein thin phir unn ki enhon ney khayanat ki pus woh dono (nek banday) inn say Allah kay (kissi azab ko) na rok sakay aur hukum dey diya gaya (aey aurton) dozakh mein janey walon kay sath tum dono bhi chali jao. 66.11 Aur Allah Taalaa ney eman walon kay liye firaon ki biwi ki misal biyan farmaee jabkay uss ney dua ki aey meray rab! Meray liye apney pass jannat mein muqam bana aur mujhay firaon say aur uss kay amal say bacha aur mujhay zalim logon say khulasi dey. 66.12 Aur (misal biyan farmaee) marium bint-e-imran ki jiss ney apney namoos ki hifazat ki phir hum ney apni taraf say uss mein jaan phook di aur (marium) uss ney apney rab ki baaton aur uss ki kitabon ki tasdeeq ki aur ibadat guzaron mein say thi. |
Subscribe to:
Posts (Atom)