World visitors

Flag Counter

Wednesday, 10 February 2016

64===surah taghabunn


7rangi-Roman-Quran-Shareef
Surat-Taghabunn 64
(Sura-Taghabunn Makka mai Nazil hui, is mai atthara (18) Aayatain hain)
 
64.01 Tamam cheez jo aasmanon aur zamin mein hain Allah ki paki biyan kerti hain ussi ki saltanat hai aur ussi ki tareef hai aur woh her her cheez per qadir hai.

64.02 Ussi ney tumhen peda kiya hai so tum mein say baazay to kafir hain aur baaz eman walay hain aur jo kuch tum ker rahey ho Allah Taalaa khoob dekh raha hai.

64.03 Ussi ney aasmanon ko aur zamin ko adal-o-himat say peda kiya ussi ney tumhari sooraten banaeen aur boht achi banaeen aur ussi ki taraf lotna hai.

64.04 Woh aasman-o-zamin ki her her cheez ka ilm rakhta hai aur jo kuch tum chupao aur jo zahir kero woh (sab ko) janta hai. Allah to seenon ki baaton tak ko jannay wala hai.

64.05 Kiya tumharay pass iss say pehlay kay kafiron ki khabar nahi phonchi? Jinhon ney apney aemaal ka wabaal chakh liya aur jin kay liye dard naak azab hai.

64.06 Yeh iss liey kay unn kay pass unn kay rasool wazeh dalaeel ley ker aaye to unhon ney keh diya kay kiya insan humari rehnumaee keray ga? Pus inkar ker diya aur mun pher liya aur Allah ney bhi bey niazi ki aur Allah to hi boht bey niaz sab khoobiyon wala.

64.07 Inn kafiron ney khayal kiya hai kay doobara zinda na kiye jayen gay aap key dijiye kay kiyon nahi Allah ki qasam! Tum zaroor doobara uthaye jao gay phir jo tum ney kiya hai uss ki khabar diye jaogay aur Allah per yeh bilkul aasan hai.

64.08 So tum Allah per aur uss kay rasool per aur uss noor per jissay hum ney nazil farmaya hai eman laao aur Allah Taalaa tumharay her amal per ba-khabar hai.

64.09 Jiss din tum sab ko uss jama honey kay din jama keray ga wohi din hai haar jeet ka aur jo shaks Allah per eman laa ker nek amal keray Allah uss say uss ki buraiyan door ker dey ga aur ussay jannaton mein dakhil keray ga jin kay neechay nehren beh rahi hain jin mein woh hamesha hamesha rahen gay. Yehi boht bari kaamyabi hai.

64.10 Aur jin logon ney kufur kiya aur humari aayaton ko jhutlaya wohi (sab) jahannumi hain (jo) jahannum mein hamesha rahen gay woh boht bura thikana hai.

64.11 Koi museebat Allah ki ijazat kay baghair nahi phonch sakti jo Allah per eman laye Allah uss kay dil ko hidayat deta hai aur Allah her cheez ko khoob jannay wala hai.

64.12 (logo) Allah ka kehna mano aur rasool ka kehna mano. Pus agar tum aeyraaz kero to humaray rasool kay zimmay sirf saaf saaf phoncha dena hai.

64.13 Allah kay siwa koi mabood-e-bar haq nahi aur mominon ko Allah hi per tawakkal rakhna chahaiye.

64.14 Aey eman walo! Tumhari baaz biwiyan aur baaz bachay tumharay dushman hain pus inn say hoshiyaar rehna aur agar tum moaf kerdo aur dar-guzar ker jao aur bakhsh do to Allah Taalaa baskshney wala meharban hai.

64.15 Tumharay maal aur aulad to sirasir tumahri aazmaeesh hain aur boht bara ajar Allah kay pass hai.

64.16 Pus jahan tak tum say ho sakay Allah say dartay raho aur suntay aur maantay chalay jao aur Allah ki raah mein kheyraat kertay raho jo tumhara liye behtar hai aur jo shaks apney nafs ki hirss say mehfooz rakha jaye wohi kaamyab hai.

64.17 Agar tum Allah ko acha qarz do gay (yani uss ki raah mein kharach kero gay) to woh ussay tumharay liye barhata jaye ga aur tumharay gunah bhi moaf farma dey ga Allah bara qadar daan bara burd baar hai.

64.18 Woh posheeda aur zahir ka jannay wala hai zabardast hikmat wala (hai).

65===surah tallaq

7rangi-Roman-Quran-Shareef
Surat-Tallaq 65
(Sura-Tallaq Makka mai Nazil hui, is mai bara (12) Aayatain hain)
 
65.01 Aey nabi! (apni ummat say kaho kay) jab tum apni biwiyon ko tallaq dena chahao to unn ki iddat (kay dino kay aaghaaz) mein unhen tallaq do aur iddat ka hisab rakho aur Allah say jo tumhara perwerdigar hai dartay raho na tum enhen inn kay gharon say nikalo aur na woh (khud) niklen haan yeh aur baat hai kay woh khuli buraee ker bethen yeh Allah ki muqarrar kerda hadden hain jo shaks Allah ki haddon say aagay barh jaye uss ney yaqeenan apney upper zulm kiya tum nahi jantay shayad iss kay baad Allah Taalaa koi naee baat peda ker dey.

65.02 Pus jab yen aurten apni iddat poori kerney kay qarib phonch jayen to unhen ya to qaeeday kay mutabiq apney nikkah mein rehney do ya dastoor kay mutabiq enhen alag kerdo aur aapas mein do aadil shakson ko gawah kerlo aur Allah ki raza mandi kay liye theek theek gawahi do. Yehi hai woh jiss ki naseehat ussay ki jati hai jo Allah per aur qayamat kay din per eman rakhta ho aur jo shaks Allah say darta hai Allah uss kay liye chutkaray ki shakal nikal deta hai.

65.03 Aur ussay aisi jagah say rozi deta hai jiss ka ussay guman bhi na ho aur jo shaks Allah per tawakkal keray ga Allah ussay kafi hoga. Allah Taalaa apna kaam poora ker kay hi rahey ga. Allah Taalaa ney her cheez ka aik andaza muqarrar ker rakha hai.

65.04 Tumhari aurton mein say jo aurten hez say na umeed ho gaee hon agar tumhen shuba ho to unn ki muddat teen maheeney hai aur unn ki bhi jinhen hez aana shuroo hi na hua ho aur hamila aurton ki iddat unn kay waza-e-hamal hai aur jo shaks Allah Taalaa say daray ga Allah uss kay (her) kaam mein aasani ker dey ga.

65.05 Yeh Allah ka hukum hai jo uss ney tumhari taraf utara hai aur jo shaks Allah say daray ga Allah uss kay gunah mita dey ga aur ussay bara bhari ajar dey ga.

65.06 Tum apni taqat kay mutabiq jahan tum rehtay ho wahan inn (tallaq wali) aurton ko rakho aur enhen tang kerney kay liye takleef na phonchao aur agar woh hamal say hon to jab tak bacha peda ho lay enhen kharach detay raha kero phir agar tumharay kehney say wohi doodh pilayen to tum enehn inn ki ujrat dey do aur ba-hum munasib tor per mashwara ker liya kero aur agar tum aapas mein kash-ma-kash kero to iss kay kehney say koi aur doodh pilaye gi.

65.07 Kushadgi walay ko apni kushadgi say kharach kerna chahaiye aur jiss per uss kay rizq ki tangi ki gaee ho ussay chahaiye kay jo kuch Allah ney ussay dey rakha hai ussi mein say (apni hasb-e-heysiyat) dey kissi shaks ko Allah takleef nahi deta magar utni hi jitni taqat ussay dey rakhi hai Allah tangi kay baad aasani aur faraghat bhi ker dey ga.

65.08 Aur boht si basti walon ney apney rab kay hukum say aur uss kay rasoolon say sir taabi ki aur hum ney bhi unn say sakht hisab kiya aur unhen azab diya unn dekha (sakht) azab.

65.09 Pus unhon ney apney kartoot ka maza chakh liya aur anjam kaar unn ka khasara hi hua.

65.10 Unn kay liye Allah Taalaa ney sakht azab tayyar ker rakha hai pus Allah say daro aey aqal mand eman walo. Yaqeenan Allah ney tumhari taraf naseehar utaar di hai.

65.11 (yani) rasool jo tumhen Allah kay saaf saaf ehkaam parh sunata hai takay unn logon ko jo eman layen aur nek amal keren woh tareekiyon say roshni ki taraf ley aaye aur jo shaks Allah per eman laye aur nek amal keray Allay ussay aisi jannaton mein dakhil keray ga jiss kay neechay nehren jari hain jin mein yeh hamesha hamesha rahen gay. Be-shak Allah ney ussay behtareen rozi dey rakhi hai.

65.12 Allah woh hai jiss ney saat aasaman banaye aur issi kay misil zaminen bhi. Iss ka hukum inn kay darmiyan utarta hai takay tum jaan lo kay Allah her cheez per qadir hai aur Allah Taalaa ney her cheez ko ba-aetbaar ilm gher rakha hai.

66===surah tahreem

7rangi-Roman-Quran-Shareef
Surat-Tehreem 66
(Sura-Tehreem Makka mai Nazil hui, is mai bara (12) Aayatain hain)
 
66.01 Aey nabi! Ji ss cheez ko Allah ney aap kay liye halal ker diya hai ussay aap kiyon haram kertay hain? (Kiya) aap apni biwiyon ki raza mandi hasil kerna chahatay hain aur Allah bakhshney wala reham kerney wala hai.

66.02 Tehqeeq kay Allah Taalaa ney tumharay liye qasmon ka khol daalna muqarrar ker diya hai aur Allah Taalaa tumhara kaar saaz hai aur wohi (pooray) ilm wala hikmat wala hai.

66.03 Aur yaad ker jab nabi ney apni baaz aurton say aik posheeda baat kahi pus jab uss ney uss baat ki khabar ker di aur Allah ney apney nabi ko iss per aagah ker diya to nabi ney thori si baat to bata di aur thori si taal gaye phir jab nabi ney apni biwi ko yeh baat bataee to woh kehnay lagi iss ki khabar aap ko kiss ney di. Kaha sab jannay walay poori khabar rakhney walay Allah ney mujhay yeh batlaya hai.

66.04 (aey nabi ki dono biwiyo!) agar tum dono Allah kay samney tauba kerlo (to boht behtar hai) yaqeenan tumharay dil jhuk paren hain aur agar tum nabi kay khilaf aik doosray ki madad kero gi pus yaqeenan uss ka kaar saaz Allah hai aur jibraeel hain aur nek ehal-e-eman aur inn kay ilawa farishtay bhi madad kerney walay hain.

66.05 Agar (woh) payghumbar tumhen tallaq dey den to boht jald enhen inn ka rab! Tumharay badlay tum say behtar biwiyan inayat farmaye ga jo islam waliyan eman waliyan tauba kerney waliyan ibadat baja laaney waliyan rozay rakhney waliyan hongi baiwa aur kanwariyan.

66.06 Aey eman walo! Tum apney aap ko aur apney ghar walon ko uss aag say bachao jiss ka endhan insan hain aur pathar jiss per sakht dil mazboot farishtay muqarrar hain jinhen jo hukum Allah Taalaa deta hai uss ki na farmani nahi kertay bulkay jo hukum diya jaye baja laatay hain.

66.07 Aey kafiro! Aaj tum uzur aur bahana mat kero. Tumhen sirf tumharay kartoot ka badla diya jaraha hai.

66.08 Aey eman walo! Tum Allah kay samney sachi khalis tauba kero. Qareeb hai kay tumhara rab tumharay gunah door kerday aur tumhen aisi jannaton mein dakhil keray jin kay neechay nehren jari hain. Jiss din Allah Taalaa nabi ko aur eman daron ko jo inn kay sath hain ruswa na keray ga. Inn ka noor inn kay samney aur inn kay dayen dor raha hoga. Yeh duayen kertay hongay aey humaray rab humen kaamil noor ata farma aur humen bakhsh dey yaqeenan tu her cheez per qadir hai.

66.09 Aey nabi! Kafiron aur munafiqon say jihad kero aur inn per sakhti kero inn kay thikana jahannum hai aur woh boht buri jagah hai.

66.10 Allah Taalaa ney kafiron kay liye nooh ki aur loot ki biwi ki misal biyan farmaee yeh dono humaray bandon mein say do (shaista aur) nek bandon kay ghar mein thin phir unn ki enhon ney khayanat ki pus woh dono (nek banday) inn say Allah kay (kissi azab ko) na rok sakay aur hukum dey diya gaya (aey aurton) dozakh mein janey walon kay sath tum dono bhi chali jao.

66.11 Aur Allah Taalaa ney eman walon kay liye firaon ki biwi ki misal biyan farmaee jabkay uss ney dua ki aey meray rab! Meray liye apney pass jannat mein muqam bana aur mujhay firaon say aur uss kay amal say bacha aur mujhay zalim logon say khulasi dey.

66.12 Aur (misal biyan farmaee) marium bint-e-imran ki jiss ney apney namoos ki hifazat ki phir hum ney apni taraf say uss mein jaan phook di aur (marium) uss ney apney rab ki baaton aur uss ki kitabon ki tasdeeq ki aur ibadat guzaron mein say thi.

Sunday, 3 January 2016

67===surah mulk

7rangi-Roman-Quran-Shareef
Surat-Mulk 67
(Sura-Mulk Makka mai Nazil hui, is mai tees (30) Aayatain hain)
 
67.01 Boht babarkat hai woh (Allah) jiss kay hath mein badshaee hai aur jo her cheez per qudrat rakhnay wala hai.

67.02 Jiss nay mot aur hayat ko iss liye peda kiya kay tumhen aazmaye kay tum mein say achay kaam kon kerta hai aur woh ghalib (aur) bakhshnay wala hai.

67.03 Jiss ney saat aasman uper talay banaye (to aey dekhnay walay) Allah Rehman ki pedaish mein koi bey-zaabtagi na dekhay ga.

67.04 Doobara (nazren daal ker) dekhley kiya koi shigaaf bhi nazar aaraha hai.

67.05 Phir dohra ker do do baar dekhley teri nigah teri taraf zalil(o-aajiz) hoker thaki hui lot aayegi.Be-shak hum ney aasman duniya ko chiraghon (sitaron) say aarasta kiya aur enehn shetanon kay maarnay ka zariya banadiya aur shetanon kay liye hum ney (dozakh ka jalanay wala) azab tayyar kerdiya.

67.06 Aur apnay rab kay sath kafur kernay walon kay liye jahannum ka azab hai aur woh kiya hi buri jagah hai.

67.07 Jab iss mein yeh daaley jayengey to iss ki baray zor ki aawazen sunen gey aur woh josh maar rahi hogi.

67.08 Qareeb hai kay (abhi) gussay kay maaray phat jaye jab kabhi iss mein koi giroh dala jayega uss say jahannum kay daroghay poochen gey kay kiya tumharay pass daranay wala koi nahi aaya tha?

67.09 Woh jawab dengey kay be-shak aaya tha lekin hum ney ussay jhutlaya aur hum ney kaha kay Allah taalaa ney kuch bhi naazil nahi farmaya tum boht bari gumrahi mein hi ho.

67.10 Aur kahen gey kay agar hum suntay hotay ya aqal rakhtay hotay to dozakhiyon mein (shareek) na hotay.

67.11 Pus unho ney apney jurum ka iqbal kerlia abb yeh dozakhi dafa hon (door hon).

67.12 Be-shak jo log apnay perwerdigaar say ghaeebana tor per dartay rehtay hain unkay liye bakhhsish hai aur bara sawab hai.

67.13 Tum apni baton ko chupao ya zahir kero woh to seenon ki posheedgiyon ko bhi bakhoobi jaanta hai.

67.14 Kiya wohi na janay jiss nay peda kiya? phir woh bareek been aur bakhabar bhi ho.

67.15 Woh zaat jiss ney tumharay liye zamin ko past-o-mutee kerdia takay tum uss ki raahon mein chaltay phirtay raho aur Allah ki roziyan khao (piyo) ussi ki taraf (tumhen) ji ker uth khara hona hai.

67.16 Kiya tum iss baat say bey khof hogaye ho kay aasmanon wala tumhen zamin mein dhansa dey aur achanak zamin laraznay lagay.

67.17 Ya kiya tum iss baat say nadar hogaye ho kay aasmanon wala tum per pathar barsa dey? Phir to tumhen maloom ho hi jayega kay mera darna kaisa tha.

67.18 Aur inn say pehlay logon ney bhi jhutlaya tha to dekho inn per mera azab kaisa kuch hua?

67.19 Kiya yeh apnay uper per kholay huye aur (kabhi kabhi) sametay huye(urnay walay) parindon ko nahi dekhtay enhen (Allah) Rehman hi (hawa-o-faza mein) thaamay huye hai. be-shak her cheez uski nigah mein hai.

67.20 Siwaye Allah kay tumhara woh konsa lashkar hai jo tumhari madad kersakay kafir to sarasar dhokay hi mein hain.

67.21 Agar Allah taalaa apni rozi rok ley to batao kon hai jo phir tumhen rozi dey ga? bulkay (kafir) to sirkashi aur bidaknay per arr gaye hain.

67.22 Acha woh shaks zada hidayat wala hai jo apnay mun kay bal ondha hoker chalay ya woh jo seedha (peron kay bal) raah-e-raast per chala ho?

67.23 kehdijiye kay wohi (Allah) ahi jiss ney tumhen peda aur tumharay kaan aackhen aur dil banaye tum boht hi kum shukerguzari kertay ho.

67.24 Kehdijiye! kay wohi hai jiss ney tumhen zamin mein pehla diya aur usski taraf tum ikhattay kiye jaogey.

67.25 (Kafir) poochtay hain kay woh wada kab zahir hoga agar tum sachay ho (to batao?)

67.26 Aap kehdijiye kay iss ka ilm to Allah hi ko hai mein to sirf khulay tor per aagah kerdenay wala hon.

67.27 Jab yeh log iss waday ko qareeb tar paalen gey uss waqt unn kafiron kay chehray bigar jayen gey aur kehdia jayega kay yehi hai jissay tum talab kiya kertay thay.

67.28 Aap kehdijiye acha agar mujhay aur meray saathiyonko Allah taalaa halak kerdey ya hum per reham keray (bahar sooratyeh to batao) kay kafirron ko dardnaak azab say kon bachaye ga?

67.29 Aap kehdijiye! kay wohi Rehman hai hum to iss per emaan la chukay aur issi per humara bharosa hai tumhenunqareeb maloom hojayega kay sareeh gumrahee mein kon hai?

67.30 Aap keh dijiye !kay acha yeh to batao kay agar tumharay (peenay ka) paani zamin mein utar jaye to kon hai jo tumharay liye nithra hua paani laye?